raushan jahāñ hai jis se vo mahfil tumheñ to ho
dil jis ko DhūñDhtā hai vo manzil tumheñ to ho
kahtā huuñ apnā dil jise vo dil tumhīñ to ho
mere jahān-e-ishq kā hāsil tumhīñ to ho
jo mauj kī hai aas jo kashtī kā aasrā
dariyā-e-dard-o-ġham kā vo sāhil tumhīñ to ho
mushkil nahii. zarā bhī vo āsān shai huuñ meñ
hal jis kā kuchh nahii. hai vo mushkil tumheñ to ho
is raah ġham meñ aur bhaTakne to do mujhe
rahbar kā kaam kiyā hai ke manzil tumheñ to ho
mushkil to kuchh nahīñ mirī uqda-kushā.iyāñ
mushkil ye aa paḌī hai ki mushkil tumhīñ to ho
dekho udaas hone na paa.e ye bazm-e-ishq
ye bhī ḳhabar hai sāhab-e-mahfil tumhīñ to ho
un ko sunā rahā huuñ ġham-e-dil kī dāstāñ
kyā ye bhī khol duuñ ki ġham-e-dil tumhīñ to ho
hasrat se dekhte ho sujūd-e-vafā magar
'bahzād' mubtalā ke muqābil tumhīñ to ho
raushan jahan hai jis se wo mahfil tumhein to ho
dil jis ko DhunDhta hai wo manzil tumhein to ho
kahta hun apna dil jise wo dil tumhin to ho
mere jahan-e-ishq ka hasil tumhin to ho
jo mauj ki hai aas jo kashti ka aasra
dariya-e-dard-o-gham ka wo sahil tumhin to ho
mushkil nahi zara bhi wo aasan shai hun mein
hal jis ka kuchh nahi hai wo mushkil tumhein to ho
is rah gham mein aur bhaTakne to do mujhe
rahbar ka kaam kiya hai ke manzil tumhein to ho
mushkil to kuchh nahin meri uqda-kushaiyan
mushkil ye aa paDi hai ki mushkil tumhin to ho
dekho udas hone na pae ye bazm-e-ishq
ye bhi KHabar hai sahab-e-mahfil tumhin to ho
un ko suna raha hun gham-e-dil ki dastan
kya ye bhi khol dun ki gham-e-dil tumhin to ho
hasrat se dekhte ho sujud-e-wafa magar
'bahzad' mubtala ke muqabil tumhin to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.