tujhī ko dil ke liye lā-javāb dekh liyā
nigāh-e-husn mirā intiḳhāb dekh liyā
nigāh milte hī kaifiyatoñ meñ Duub gayā
nigāh meñ tirī kaif-e-sharāb dekh liyā
hijāb apne farā.ez meñ kāmyāb nahīñ
mirī nazar ne tumheñ be-naqāb dekh liyā
un añkhḌiyoñ kī qasam un kī mastiyoñ kī qasam
ki pur sharāb se jām-e-sharāb dekh liyā
hameñ hai yād-e-javānī barā.e-nām apnī
bas is tarah se kabhī jaise ḳhvāb dekh liyā
ḳhudā ke vāste ab to muaaf rakh zālim
bahut dinoñ tirī ulfat kā ḳhvāb dekh liyā
mujhī ko kahtī hai 'bahzād'-e-mubtalā duniyā
ḳharāb haal kā hāl-e-ḳharāb dekhā liyā
tujhi ko dil ke liye la-jawab dekh liya
nigah-e-husn mera intiKHab dekh liya
nigah milte hi kaifiyaton mein Dub gaya
nigah mein teri kaif-e-sharab dekh liya
hijab apne faraez mein kaamyab nahin
meri nazar ne tumhein be-naqab dekh liya
un ankhDiyon ki qasam un ki mastiyon ki qasam
ki pur sharab se jam-e-sharab dekh liya
hamein hai yaad-e-jawani barae-nam apni
bas is tarah se kabhi jaise KHwab dekh liya
KHuda ke waste ab to muaf rakh zalim
bahut dinon teri ulfat ka KHwab dekh liya
mujhi ko kahti hai 'bahzad'-e-mubtala duniya
KHarab haal ka haal-e-KHarab dekha liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.