mirā hosh gardish-e-jām tak mirā nashā-e-sub.h se shaam tak
mirā kaif tere sukūn tak mirī zindagī tire naam tak
mirī bandagī kī haqīqateñ mirī bandagī se na pūchhiye
na sujūd tak haiñ ye munhasir na ye munhasir haiñ qiyām tak
tumheñ apne husn kā vāsta zarā husn kī usī shaan se
usī rañg se usī aan se chale aao manzar-e-ām tak
hai vujūd-e-ālam-e-āgahī hai vujūd-e-ālam-e-be-kHudī
hai vujūd a.alam-e-hosh bhī faqat ek laġhzish-e-gām tak
mirī tauba tauba kahāñ rahī na yañh rahī na vahāñ rahī
mirī tauba tauba jo rah sakī to rahī hai gardish-e-jām tak
jo jamāl kī tire ibtidā hai nizām-e-dahr kī sub.h se
tū mire bhī ishq kī intihā hai nizām-e-dahr kī shaam tak
mujhe un ke husn se kyā ġharaz mujhe un ke zikr se fā.eda
mujhe un ke naam se vāsta ki nahīñ payām-o-salām tak
mera hosh gardish-e-jam tak mera nasha-e-subh se sham tak
mera kaif tere sukun tak meri zindagi tere nam tak
meri bandagi ki haqiqaten meri bandagi se na pūchhiye
na sujud tak hain ye munhasir na ye munhasir hain qiyam tak
tumhein apne husn ka wasta zara husn ki usi shan se
usi rang se usi aan se chale aao manzar-e-am tak
hai wujud-e-alam-e-agahi hai wujud-e-alam-e-be-kHudi
hai wujud aalam-e-hosh bhi faqat ek laghzish-e-gam tak
meri tauba tauba kahan rahi na yanh rahi na wahan rahi
meri tauba tauba jo rah saki to rahi hai gardish-e-jam tak
jo jamal ki tere ibtida hai nizam-e-dahr ki subh se
tu mere bhi ishq ki intiha hai nizam-e-dahr ki sham tak
mujhe un ke husn se kya gharaz mujhe un ke zikr se faeda
mujhe un ke nam se wasta ki nahin payam-o-salam tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.