tasavvur meñ koī phir aa rahā hai
ilāhī ḳhair dil ghabrā rahā hai
vo yauñ dil kī fazā par chhā rahe haiñ
ki dil maġhrūr hotā jā rahā hai
nahīñ maiñ kuchh nahīñ aatā hai nāseh
ki tū be-kār kyuuñ samjhā rahā hai
mohabbat kartī hai us kī parastish
ki tū jis dil ko yuuñ Thukrā rahā hai
tasavvur de rahā hai kHuub dhoka
ki koī aa rahā hai jā rahā hai
are saaqī mirā paimāna-e-dil
sharāb-e-ārzū chhalkā rahā hai
mohabbat dekh ai merī mohabbat
mire dil ko koī barmā rahā hai
ko ke husn kī allāh re garmī
mohabbat ko pasīna aa rahā hai
zarā ḳhāmosh ho 'bahzād' muztar
tire ash.ār koī gā rahā hai
tasawwur mein koi phir aa raha hai
ilahi KHair dil ghabra raha hai
wo yaun dil ki faza par chha rahe haiñ
ki dil maghrur hota ja raha hai
nahin main kuchh nahin aata hai naseh
ki tu be-kar kyun samjha raha hai
mohabbat karti hai us ki parastish
ki tu jis dil ko yun Thukra raha hai
tasawwur de raha hai kHub dhoka
ki koi aa raha hai ja raha hai
are saqi mera paimana-e-dil
sharab-e-arzu chhalka raha hai
mohabbat dekh ai meri mohabbat
mere dil ko koi barma raha hai
ko ke husn ki allah re garmi
mohabbat ko pasina aa raha hai
zara KHamosh ho 'bahzad' muztar
tere ashaar koi ga raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.