jahān-e-āshiqī kahte haiñ jis ko vo jahāñ maiñ huuñ
mohabbat kī zamīñ maiñ huuñ vafā kā āsmāñ maiñ huuñ
fazā-e-rañg-o-bū-e-gulistāñ kā rāz-dāñ maiñ huuñ
chaman kā patta patta kah rahā hai bāġhbāñ maiñ huuñ
gul-o-bulbul haiñ donoñ lāzim-o-malzūm aapas meñ
jo jān-e-gulistāñ vo haiñ to rūh-e-gulistāñ maiñ huuñ
mujhe ġham hai musībat hai tumheñ aish-o-masarrat hai
bahār-e-be-ḳhizāñ tum ho bahār-e-pur-ḳhizāñ maiñ huuñ
junūñ ko kyuuñ na mahbūb ‘bahzād’-e-junūñ parvar
ki ik le de ke bas dast-e-junoñ kā rāz-dāñ maiñ huuñ
jahan-e-ashiqi kahte hain jis ko wo jahan main hun
mohabbat ki zamin main hun wafa ka aasman main hun
faza-e-rang-o-bu-e-gulistan ka raaz-dan main hun
chaman ka patta patta kah raha hai baghban main hun
gul-o-bulbul hain donon lazim-o-malzum aapas mein
jo jaan-e-gulistan wo hain to ruh-e-gulistan main hun
mujhe gham hai musibat hai tumhein aish-o-masarrat hai
bahaar-e-be-KHizan tum ho bahaar-e-pur-KHizan main hun
junun ko kyun na mahbub ‘bahzad’-e-junun parwar
ki ek le de ke bas dast-e-junon ka raaz-dan main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.