qalb-o-nazar pe aap sitam Dhā ke chal diye
allāh re be-ruḳhī mujhe taḌpā ke chal diye
kyā ishq kī nigāh se sharmā ke chal diye
yā mere iztirāb se ghabrā ke chal diye
kyā zindagī-e-ġham pe tumheñ pyaar āgayā
mujh par nigāh-e-lutf jo farmā ke chal diye
dekhā jo izhdihām-e-tamannā-o-ārzū
nīchī nazar kiye hue iThlā ke chal diye
kuchh to zabāñ se kahiye koī baat kījiye
aa.e the kis liye bhalā kyuuñ aake chal diye
aane ko apne va.ada-e-fardā pe Taal kar
'bahzād' aaj vo tujhe bahlā ke chal diye
qalb-o-nazar pe aap sitam Dha ke chal diye
allah re be-ruKHi mujhe taDpa ke chal diye
kya ishq ki nigah se sharma ke chal diye
ya mere iztirab se ghabra ke chal diye
kya zindagi-e-gham pe tumhein pyar aagaya
mujh par nigah-e-lutf jo farma ke chal diye
dekha jo izhdiham-e-tamanna-o-arzu
nichi nazar kiye hue iThla ke chal diye
kuchh to zaban se kahiye koi baat kijiye
aae the kis liye bhala kyun aake chal diye
aane ko apne wada-e-farda pe Tal kar
'bahzad' aaj wo tujhe bahla ke chal diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.