dil kī ḳhalish kā dard mohabbat kā vāsta
dekho idhar bhī chashm-e-muravvat kā vāsta
rūdād-e-ġham ke sunñe kī koshish kaaro na tum
afsāna haaye dard-e-mohabbat kā vāsta
jalvoñ ko khelne do nazar se mirī zarā
tum ko nigāh-e-ishq kī jur.at kā vāsta
kyuuñ be-naqāb karte ho ye rū-e-tābnāk
nazāra-e-jamāl haqīqat kā vāsta
lillāh is taraf bhī vahī chashm-e-dil-navāz
maiñ de rahā huuñ lafz-e-mohabbat kā vāsta
baaqī rahe na jaib-o-garebāñ meñ ek taar
dast-e-junūñ tujhe mirī vahshat kā vāsta
ai kirdgār-e-baḳhsh de 'bahzād' ke gunāh
detā hai vo tujhe tirī rahmat kā vāsta
dil ki KHalish ka dard mohabbat ka wasta
dekho idhar bhi chashm-e-murawwat ka wasta
rudad-e-gham ke sunne ki koshish karo na tum
afsana haye dard-e-mohabbat ka wasta
jalwon ko khelne do nazar se meri zara
tum ko nigah-e-ishq ki jurat ka wasta
kyun be-naqab karte ho ye ru-e-tabnak
nazara-e-jamal haqiqat ka wasta
lillah is taraf bhi wahi chashm-e-dil-nawaz
main de raha hun lafz-e-mohabbat ka wasta
baqi rahe na jaib-o-gareban mein ek tar
dast-e-junun tujhe meri wahshat ka wasta
ai kirdgar-e-baKHsh de 'bahzad' ke gunah
deta hai wo tujhe teri rahmat ka wasta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.