baKHt-e-KHufta ne mujhe rauza pe jaane na diya
baḳht-e-ḳhufta ne mujhe rauza pe jaane na diyā
chashm-o-dil siine kaleje se lagāne na diyā
aah qismat mujhe duniyā ke ġhamoñ ne rokā
haaye taqdīr ki taiba mujhe jaane na diyā
paañv thak jaate agar paañv banātā sar ko
sar ke bal jaatā zo.af ne jaane na diyā
sar to sar jaan se jaane kī mujhe hasrat hai
maut ne haaye mujhe jaan se jaane na diyā
ab kahāñ jā.egā naqsha tirā mere dil se
tah meñ rakhā hai use dil ne gumāñ ne na diyā
aur chamaktī sī ġhazal koī paḌhvā.e 'nūrī'
rañg apnā abhī jamne sho.arā ne na diyā
baKHt-e-KHufta ne mujhe rauza pe jaane na diya
chashm-o-dil sine kaleje se lagane na diya
aah qismat mujhe duniya ke ghamon ne roka
haye taqdir ki taiba mujhe jaane na diya
panw thak jate agar panw banata sar ko
sar ke bal jata zoaf ne jaane na diya
sar to sar jaan se jaane ki mujhe hasrat hai
maut ne haye mujhe jaan se jaane na diya
ab kahan jaega naqsha tera mere dil se
tah mein rakha hai use dil ne guman ne na diya
aur chamakti si ghazal koi paDhwae 'nuri'
rang apna abhi jamne shoara ne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.