basar ham ajab zindagī kar rahe haiñ
kabhī jī rahe haiñ kabhī mar rahe haiñ
ye naale ye aaheñ jo ham bhar rahe haiñ
unheñ rū-shanās sitam kar rahe haiñ
ḳhudā kī qasam bas ham hī jānte haiñ
mohabbat kī duniyā meñ kyuuñ kar rahe haiñ
na hans kar hī guzrī na ro kar hī ham se
ajab haal meñ zindagī bhar rahe haiñ
ta.ajjub na kar ġham na khā qalb-e-ġhamgīñ
hamesha yahī un ke tevar rahe haiñ
jafā.eñ kaaro shauq se tum jafā kī
shikāyat hī ham tum se kab kar rahe haiñ
shab-o-roz ro ro ke 'bahzād' giryāñ
tabī.at ko mānūs-e-ġham kar rahe haiñ
basar hum ajab zindagi kar rahe hain
kabhi ji rahe hain kabhi mar rahe hain
ye nale ye aahen jo hum bhar rahe hain
unhen ru-shanas sitam kar rahe hain
KHuda ki qasam bas hum hi jaante hain
mohabbat ki duniya mein kyun kar rahe hain
na hans kar hi guzri na ro kar hi hum se
ajab haal mein zindagi bhar rahe hain
tajjub na kar gham na kha qalb-e-ghamgin
hamesha yahi un ke tewar rahe hain
jafaen karo shauq se tum jafa ki
shikayat hi hum tum se kab kar rahe hain
shab-o-roz ro ro ke 'bahzad' giryan
tabiat ko manus-e-gham kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.