bhar do jholi meri ya mohammad lauT kar main na jaunga Khaali
bhar do jholī merī yā mohammad lauT kar maiñ na jā.ūñgā ḳhālī
kuchh navāsoñ kā sadqa atā ho dar pe aayā huuñ ban kar savālī
haq se paa.ī vo shān-e-karīmī marhabā donoñ-ālam ke vaalī
us kī qismat kā chamkā sitāra jis pe nazr-e-karam tū ne Daalī
zindagī baḳhsh dī bandagī ko aabrū dīn-e-haq kī bachā lī
vo mohammad kā pyārā navāsā jis ne sajde meñ gardan kaTā lī
hashr meñ un ko dekheñge jis dam ummatī ye kaheñge ḳhushī se
aa rahe haiñ vo dekho mohammad jin ke kañdhe pe hai kamlī kaalī
āshiq-e-mustafā kī azaañ meñ allāh allāh kitnā asar thā
arsh vaale bhī sunte the jis ko kyā azaañ thī azān-e-bilālī
kaash 'purnam' dayār-e-nabī meñ jīte-jī ho bulāvā kisī din
hāl-e-ġham mustafā ko sunā.ūñ thaam kar un ke rauze kī jaalī
bhar do jholi meri ya mohammad lauT kar main na jaunga KHali
kuchh nawason ka sadqa ata ho dar pe aaya hun ban kar sawali
haq se pai wo shan-e-karimi marhaba donon-alam ke wali
us ki qismat ka chamka sitara jis pe nazr-e-karam tu ne Dali
zindagi baKHsh di bandagi ko aabru din-e-haq ki bacha li
wo mohammad ka pyara nawasa jis ne sajde mein gardan kaTa li
hashr mein un ko dekhenge jis dam ummati ye kahenge KHushi se
aa rahe hain wo dekho mohammad jin ke kandhe pe hai kamli kali
aashiq-e-mustafa ki azan mein allah allah kitna asar tha
arsh wale bhi sunte the jis ko kya azan thi azan-e-bilali
kash 'purnam' dayar-e-nabi mein jite-ji ho bulawa kisi din
haal-e-gham mustafa ko sunaun tham kar un ke rauze ki jali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.