aankh se aankh milao to koi baat bane
aañkh se aañkh milāo to koī baat bane
ruḳh se zulfoñ ko haTāo to koī baat bane
tiir chhup-chhup ke chalāne se bhalā kyā hāsil
be-jhijhak sāmne aao to koī baat bane
surma āñkhoñ meñ lagāne se nahīñ hotā siñgār
mehñdī hāthoñ se lagāo to koī baat bane
jaam bhar-bhar ke to ham roz piyā karte haiñ
aaj nazroñ se pilāo to koī baat bane
ai 'fanā' jhuum ke aane lage kaale bādal
bazm-e-mai-kHāna sajāo to koī baat bane
aankh se aankh milao to koi baat bane
ruKH se zulfon ko haTao to koi baat bane
tir chhup-chhup ke chalane se bhala kya hasil
be-jhijhak samne aao to koi baat bane
surma aankhon mein lagane se nahin hota singar
mehndi hathon se lagao to koi baat bane
jam bhar-bhar ke to hum roz piya karte hain
aaj nazron se pilao to koi baat bane
ai 'fana' jhum ke aane lage kale baadal
bazm-e-mai-kHana sajao to koi baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.