Sufinama

jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai

Firaq Gorakhpuri

jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai

Firaq Gorakhpuri

MORE BYFiraq Gorakhpuri

    jise log kahte haiñ tīrgī vahī shab hijāb-e-sahar bhī hai

    jinheñ be-ḳhudī fanā milī unheñ zindagī ḳhabar bhī hai

    ye visāl-o-hijr bahs kyā ki 'ajīb chiiz hai 'ishq bhī

    tujhe ke hai vahī dard-e-dil vahī rañg-e-zaḳhm-e-jigar bhī hai

    dam-e-hashr-e-azal bhī yaad kar ye zabān kyā ye nigāh kyā

    jo kisī se aaj na ho sakā vo savāl bār-e-digar bhī hai

    makāñ zamāñ se guzar bhī rah-e-'adam ko bhī kaaT le

    vo savāb ho ki 'azāb ho kahīñ zindagī se mafar bhī hai

    na ġham savāb-o-'azāb se kabhī chheḌ fitrat-e-'ishq ko

    jo azal se mast-nigāh hai use nek-o-bad ḳhabar bhī hai

    tire ġham 'umr-e-drāz meñ ka.ī inqilāb hue magar

    vahī tūl-e-sham-e'-'firāq' hai vahī intizār-e-sahar bhī hai

    jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai

    jinhen be-KHudi fana mili unhen zindagi ki KHabar bhi hai

    ye visal-o-hijr ki bahs kya ki 'ajib chiz hai 'ishq bhi

    tujhe pa ke hai wahi dard-e-dil wahi rang-e-zaKHm-e-jigar bhi hai

    dam-e-hashr-e-azal ki bhi yaad kar ye zaban kya ye nigah kya

    jo kisi se aaj na ho saka wo sawal bar-e-digar bhi hai

    tu makan zaman se guzar bhi ja tu rah-e-'adam ko bhi kaT le

    wo sawab ho ki 'azab ho kahin zindagi se mafar bhi hai

    na gham sawab-o-'azab se kabhi chheD fitrat-e-'ishq ko

    jo azal se mast-nigah hai use nek-o-bad ki KHabar bhi hai

    tere gham ki 'umr-e-draaz mein kai inqilab hue magar

    wahi tul-e-sham-e'-'firaq' hai wahi intizar-e-sahar bhi hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now