habib-e-KHuda ka nazara karun main
habīb-e-ḳhudā kā nazārā karūñ maiñ
dil-o-jān un par nisār karūñ maiñ
tirā kafsh-e-pā yuuñ sañvārā karūñ maiñ
ki palkoñ se us ko bahārā karūñ maiñ
tirī rahmateñ aam haiñ phir bhī pyāre
ye sadmāt-e-furqat sahārā karūñ maiñ
mujhe apnī rahmat se to apnā kare
sivā tere sab se kinārā karūñ maiñ
maiñ kyuuñ ġhair kī Thokareñ khāne jā۔ūñ
tire dar se apnā guzāra karūñ maiñ
tire naam par sar ko qurbān kar bhī
tire sar se sadqa utārā karūñ maiñ
dam-e-vāpsīñ tak tire giit gā.ūñ
mahammad mahammad pukārā karūñ maiñ
ḳhudā ḳhair se laa.e vo din bhī 'nūrī'
madīne kī galiyāñ bahārā karūñ maiñ
habib-e-KHuda ka nazara karun main
dil-o-jaan un par nisar karun main
tera kafsh-e-pa yun sanwara karun main
ki palkon se us ko bahaara karun main
teri rahmaten aam hain phir bhi pyare
ye sadmat-e-furqat sahaara karun main
mujhe apni rahmat se to apna kare
siwa tere sab se kinara karun main
main kyun ghair ki Thokaren khane ja۔un
tere dar se apna guzara karun main
tere nam par sar ko qurban kar bhi
tere sar se sadqa utara karun main
dam-e-wapsin tak tere git gaun
mahammad mahammad pukara karun main
KHuda KHair se lae wo din bhi 'nuri'
madine ki galiyan bahaara karun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.