hairāñ huñ dil ko rouñ ki pīTūñ jigar ko maiñ
hairāñ huuñ dil ko ro.uuñ ki pīTūñ jigar ko maiñ
maqdūr ho to saath rakhūñ nauhagar ko maiñ
chhoḌā na rashk ne ki tire ghar kā naam luuñ
har ik se pūchhtā huuñ ki jā.ūñ kidhar ko maiñ
jaanā paḌā raqīb ke dar par hazār baar
ai kaash jāntā na tire rah-guzar ko maiñ
hai kyā jo kas ke bāñdhiye merī balā Dare
kyā jāntā nahīñ huuñ tumhārī kamar ko maiñ
lo vo bhī kahte haiñ ki ye be-nañg-o-nām hai
ye jāntā agar to luTātā na ghar ko maiñ
chaltā huuñ thoḌī duur har ik tez-rau ke saath
pahchāntā nahīñ huuñ abhī rāhbar ko maiñ
ḳhvāhish ko ahmaqoñ ne parastish diyā qarār
kyā pūjtā huuñ us but-e-bedād-gar ko maiñ
phir be-ḳhudī meñ bhuul gayā rāh-e-kū-e-yār
jaatā vagarna ek din apnī ḳhabar ko maiñ
apne pe kar rahā huuñ qayās ahl-e-dahr kā
samjhā huuñ dil-pazīr mata-e-hunar ko maiñ
'ġhālib' ḳhudā kare ki savār-e-samand-e-nāz
dekhūñ alī bahādur-e-ālī-guhar ko maiñ
hairāñ huñ dil ko rouñ ki pīTūñ jigar ko maiñ
maqdūr ho to sath rakhūñ nauhagar ko maiñ
chhoḌā na rashk ne ki tere ghar kā nam luñ
har ek se pūchhtā huñ ki jāūñ kidhar ko maiñ
jaanā paḌā raqīb ke dar par hazār bar
ai kash jāntā na tere rah-guzar ko maiñ
hai kyā jo kas ke bāñdhiye merī balā Dare
kyā jāntā nahīñ huñ tumhārī kamar ko maiñ
lo wo bhī kahte haiñ ki ye be-nañg-o-nām hai
ye jāntā agar to luTātā na ghar ko maiñ
chaltā huñ thoḌī dur har ek tez-rau ke sath
pahchāntā nahīñ huñ abhī rāhbar ko maiñ
ḳhwāhish ko ahmaqoñ ne parastish diyā qarār
kyā pūjtā huñ us but-e-bedād-gar ko maiñ
phir be-ḳhudī meñ bhul gayā rāh-e-kū-e-yār
jatā wagarna ek din apnī ḳhabar ko maiñ
apne pe kar rahā huñ qayās ahl-e-dahr kā
samjhā huñ dil-pazīr mata-e-hunar ko maiñ
'ġhālib' ḳhudā kare ki sawār-e-samand-e-nāz
dekhūñ alī bahādur-e-ālī-guhar ko maiñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.