hum wasl mein aise khoe gae furqat ka zamana bhul gae
ham vasl meñ aise kho.e ga.e furqat kā zamānā bhuul ga.e
sāhil kī ḳhushī meñ maujoñ kā tūfān uThānā bhuul ga.e
āñkhoñ meñ jo sūrat thī un kī ġhairoñ se chhupānā bhuul ga.e
phūloñ kī mohabbat meñ dāman kāñToñ se bachānā bhuul ga.e
dil rakh to liyā va.ada kar ke aur va.ade pe aanā bhuul ga.e
yā ye ki mohabbat vo na rahī yā naaz uThānā bhuul ga.e
betābī-e-dil ke hāthoñ se tauhīn-e-mohabbat ho na sakī
achchhā bhī huā jab vo aa.e ham haal sunānā bhuul ga.e
jab chāhne vaale ḳhatm hue us vaqt unheñ ehsās huā
ab yaad meñ un kī rote haiñ hañs hañs ke rulānā bhuul ga.e
jiinā hai tire hī qadmoñ meñ marnā hai tire hī qadmoñ meñ
kyā ḳhuub huā ham dar se tire sar apnā uThānā bhuul ga.e
kyuuñ nīchī nigāhoñ se mujh ko paimāna dikhā kar hañste ho
āñkheñ to milā kar baat kaaro nazroñ se pilānā bhuul ga.e
yā tū ne nazar ḳhīra kar dī ai barq-e-tajallī yā ham hī
dīdār meñ apnī āñkhoñ kā ehsān uThānā bhuul ga.e
ḳhud aap ne apne 'kāmil' ko dīvāna banā kar chhoḌā hai
ab hosh uḌe kyuuñ jaate haiñ kyā hosh uḌānā bhuul ga.e
hum wasl mein aise khoe gae furqat ka zamana bhul gae
sahil ki KHushi mein maujon ka tufan uThana bhul gae
aankhon mein jo surat thi un ki ghairon se chhupana bhul gae
phulon ki mohabbat mein daman kanTon se bachana bhul gae
dil rakh to liya wada kar ke aur wade pe aana bhul gae
ya ye ki mohabbat wo na rahi ya naz uThana bhul gae
betabi-e-dil ke hathon se tauhin-e-mohabbat ho na saki
achchha bhi hua jab wo aae hum haal sunana bhul gae
jab chahne wale KHatm hue us waqt unhen ehsas hua
ab yaad mein un ki rote hain hans hans ke rulana bhul gae
jina hai tere hi qadmon mein marna hai tere hi qadmon mein
kya KHub hua hum dar se tere sar apna uThana bhul gae
kyun nichi nigahon se mujh ko paimana dikha kar hanste ho
aankhen to mila kar baat karo nazron se pilana bhul gae
ya tu ne nazar KHira kar di ai barq-e-tajalli ya hum hi
didar mein apnī aankhon ka ehsan uThana bhul gae
KHud aap ne apne 'kaamil' ko diwana bana kar chhoDa hai
ab hosh uDe kyun jate hain kya hosh uDana bhul gae
- Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 213)
- Author : Kamil Shattari
- Publication : Kamil Academy (1962)
- Edition : 4th
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.