Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

har ek baat pe kahte ho tum ki tū kyā hai

Mirza Ghalib

har ek baat pe kahte ho tum ki tū kyā hai

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    har ek baat pe kahte ho tum ki kyā hai

    tumhīñ kaho ki ye andāz-e-guftugū kyā hai

    na sho.ale meñ ye karishma na barq meñ ye adā

    koī batāo ki vo shoḳh-e-tund-ḳhū kyā hai

    ye rashk hai ki vo hotā hai ham-suḳhan tum se

    vagarna ḳhauf-e-bad-āmozi-e-adū kyā hai

    chipak rahā hai badan par lahū se pairāhan

    hamāre jaib ko ab hājat-e-rafū kyā hai

    jalā hai jism jahāñ dil bhī jal gayā hogā

    kuredte ho jo ab raakh justujū kyā hai

    ragoñ meñ dauḌte phirne ke ham nahīñ qaa.il

    jab aañkh se na Tapkā to phir lahū kyā hai

    vo chiiz jis ke liye ham ko ho bahisht aziiz

    sivā.e bāda-e-gulfām-e-mushk-bū kyā hai

    piyūñ sharāb agar ḳhum bhī dekh luuñ do-chār

    ye shīsha o qadah o kuuza o subū kyā hai

    rahī na tāqat-e-guftār aur agar ho bhī

    to kis umiid pe kahiye ki aarzū kyā hai

    huā hai shah musāhib phire hai itrātā

    vagarna shahr meñ 'ġhālib' aabrū kyā hai

    har ek baat pe kahte ho tum ki kyā hai

    tumhīñ kaho ki ye andāz-e-guftugū kyā hai

    na shoale meñ ye karishma na barq meñ ye adā

    koī batāo ki wo shoḳh-e-tund-ḳhū kyā hai

    ye rashk hai ki wo hotā hai ham-suḳhan tum se

    wagarna ḳhauf-e-bad-āmozi-e-adū kyā hai

    chipak rahā hai badan par lahū se pairāhan

    hamāre jaib ko ab hājat-e-rafū kyā hai

    jalā hai jism jahāñ dil bhī jal gayā hogā

    kuredte ho jo ab rakh justujū kyā hai

    ragoñ meñ dauḌte phirne ke hum nahīñ qail

    jab aañkh se na Tapkā to phir lahū kyā hai

    wo chiz jis ke liye hum ko ho bahisht aziz

    siwāe bāda-e-gulfām-e-mushk-bū kyā hai

    piyūñ sharāb agar ḳhum bhī dekh luñ do-chār

    ye shīsha o qadah o kuza o subū kyā hai

    rahī na tāqat-e-guftār aur agar ho bhī

    to kis umid pe kahiye ki aarzū kyā hai

    huā hai shah musāhib phire hai itrātā

    wagarna shahr meñ 'ġhālib' aabrū kyā hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now