jaan lo ahal-e-basirat jalwa-e-zati hai ruh
jaan lo ahal-e-basīrat jalva-e-zātī hai ruuh
amr-e-rabbī is liye 'ālam meñ kahlātī hai ruuh
jab ġhubār-e-ġhairiyat se qalb ho jaatā hai paak
saaf ā.īna meñ jalva apnā dikhlātī hai ruuh
hai azal se ruuh ko marġhūb naġhmāt-e-sama.a
aaj bhī āvāz-e-nai har vajd meñ aatī hai ruuh
sunte hī jab naġhma-e-anā-elaihe-rāje'ūn
'āshiqoñ kī zauq-e-hastī meñ nikal jaatī hai ruuh
hai yahī sirr-e-nafaḳhtu-min ruuhī 'hasan'
shān-e-tanzīhī hai is meñ jalva-e-zātī hai ruuh
jaan lo ahal-e-basirat jalwa-e-zati hai ruh
amr-e-rabbi is liye 'alam mein kahlati hai ruh
jab ghubar-e-ghairiyat se qalb ho jata hai pak
saf aaina mein jalwa apna dikhlati hai ruh
hai azal se ruh ko marghub naghmat-e-sama
aaj bhi aawaz-e-nai har wajd mein aati hai ruh
sunte hi jab naghma-e-ana-elaihe-raje'un
'ashiqon ki zauq-e-hasti mein nikal jati hai ruh
hai yahi sirr-e-nafaKHtu-min ruhi 'hasan'
shan-e-tanzihi hai is mein jalwa-e-zati hai ruh
- Book : Bayaz-e-Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.