dil ki aankhon se nazar aaya hai jalwa tera
dil kī āñkhoñ se nazar aayā hai jalva terā
mar ke bhī zinda-e-jāved hai shaidā terā
chaman jaan meñ hai magar ai gul-e-rā'nā terā
dil par shor banā bulbul-e-shaidā terā
sar nahīñ paañv hai jis meñ nahīñ saudā terā
dil nahīñ ḳhaak hai jis meñ na ho khaTkā terā
mujh ko tahqīq se matlab nahīñ sīdhī hai ye baat
tū ḳhudāvand hai be-shub.h huuñ bandā terā
jis taraf dekhe dil meñ samāyā hai
chashm-e-sar se nazar aatā hai tamāshā terā
dil maz.har-e-jānāñ hai aur ruuh ko hotī hai ḳhushī
jis ghaḌī naam zabāñ par mirī aayā terā
dil ki aankhon se nazar aaya hai jalwa tera
mar ke bhi zinda-e-jawed hai shaida tera
chaman jaan mein hai magar ai gul-e-ra'na tera
dil par shor bana bulbul-e-shaida tera
sar nahin panw hai jis mein nahin sauda tera
dil nahin KHak hai jis mein na ho khaTka tera
mujh ko tahqiq se matlab nahin sidhi hai ye baat
tu KHudawand hai be-shubh hun banda tera
jis taraf dekhe dil mein samaya hai
chashm-e-sar se nazar aata hai tamasha tera
dil mazhar-e-jaanan hai aur ruh ko hoti hai KHushi
jis ghaDi nam zaban par meri aaya tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.