huzur-o-ghaib mein kuchh imtiyaz ho to kahun
huzūr-o-ġhaib meñ kuchh imtiyāz ho to kahūñ
haqīqat apnī nazar meñ majāz ho to kahūñ
hadīs-e-rāz hai merā fasāna-e-ulfat
yahī fasāna jo dānā-e-rāz ho to kahūñ
payām-e-'ishq talab-gār-e-dil-navāzī hai
agar jahāñ meñ koī dil-navāz ho to kahūñ
hazār sham.a jaleñ aur laakh parvāne
ḳhud-āgahī meñ ye soz-o-gudāz ho to kahūñ
maiñ dekhtā huuñ har ik shai ḳhudā kī hamd meñ hai
sanam-kade meñ koī be-namāz ho to kahūñ
'zahīn' kasrat-e-nusrat hai jalva-e-mahmūd
mirī nigāh meñ koī ayaaz ho to kahūñ
huzur-o-ghaib mein kuchh imtiyaz ho to kahun
haqiqat apni nazar mein majaz ho to kahun
hadis-e-raaz hai mera fasana-e-ulfat
yahi fasana jo dana-e-raaz ho to kahun
payam-e-'ishq talab-gar-e-dil-nawazi hai
agar jahan mein koi dil-nawaz ho to kahun
hazar shama jalen aur lakh parwane
KHud-agahi mein ye soz-o-gudaz ho to kahun
main dekhta hun har ek shai KHuda ki hamd mein hai
sanam-kade mein koi be-namaz ho to kahun
'zahin' kasrat-e-nusrat hai jalwa-e-mahmud
meri nigah mein koi ayaz ho to kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.