is shan-e-karam ka kya kahna dar pe jo sawali aate hain
is shān-e-karam kā kyā kahnā dar pe jo savālī aate haiñ
ik tirī karīmī kā sadqa vo man kī murādeñ paate haiñ
ḳhālī na rahī rahmat se tirī dukh-dard ke māroñ kī jholī
kyā terā karam hai dar pe terī bhar dī hai hazāroñ kī jholī
din-rāt hai mañgtoñ kā pherā kyā ḳhuub sakhī hai dar terā
miltī hai karam kī bhiik unheñ dāman jo yahāñ phailāte haiñ
is dar kī saḳhāvat kyā kahiye ḳhālī na gayā mañgtā koī
muhtāj yahāñ jo aate haiñ vo jholiyāñ bhar ke jaate haiñ
is shan-e-karam ka kya kahna dar pe jo sawali aate hain
ek teri karimi ka sadqa wo man ki muraden pate hain
KHali na rahi rahmat se teri dukh-dard ke maron ki jholi
kya tera karam hai dar pe teri bhar di hai hazaron ki jholi
din-raat hai mangton ka phera kya KHub sakhi hai dar tera
milti hai karam ki bhik unhen daman jo yahan phailate hain
is dar ki saKHawat kya kahiye KHali na gaya mangta koi
muhtaj yahan jo aate hain wo jholiyan bhar ke jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.