kabhī un kā nam lenā kabhī un kī baat karnā
kabhī un kā nam lenā kabhī un kī baat karnā
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
kabhī un kā naam lenā kabhī un kī baat karnā
mirā zauq un kī chāhat mirā shauq un pe marnā
vo kisī kī jhiil āñkheñ vo mirī junūñ-mizājī
kabhī Dūbnā ubhar kar kabhī Duub kar ubharnā
tire manchaloñ kā jag meñ ye ajab chalan rahā hai
na kisī kī baat sunñā, na kisī se baat karnā
shab-e-ġham na pūchh kaise tire mubtalā pe guzrī
kabhī aah bhar ke girnā kabhī gir ke aah bharnā
vo tirī galī ke tevar, vo nazar nazar pe pahre
vo mirā kisī bahāne tujhe dekhte guzarnā
kahāñ mere dil kī hasrat, kahāñ merī nā-rasā.ī
kahāñ tere gesuoñ kaa, tire dosh par bikharnā
chale laakh chaal duniyā ho zamāna laakh dushman
jo tirī panāh meñ ho use kyā kisī se Darnā
vo kareñge nā-ḳhudā.ī to lagegī paar kashtī
hai 'nasīr' varna mushkil, tirā paar yuuñ utarnā
kabhī un kā nam lenā kabhī un kī baat karnā
mirā zauq un kī chāhat mirā shauq un pe marnā
wo kisī kī jhil āñkheñ wo mirī junūñ-mizājī
kabhī Dūbnā ubhar kar kabhī Dub kar ubharnā
tere manchaloñ kā jag meñ ye ajab chalan rahā hai
na kisī kī baat sunñā, na kisī se baat karnā
shab-e-ġham na pūchh kaise tere mubtalā pe guzrī
kabhī aah bhar ke girnā kabhī gir ke aah bharnā
wo tirī galī ke tewar, wo nazar nazar pe pahre
wo mirā kisī bahāne tujhe dekhte guzarnā
kahāñ mere dil kī hasrat, kahāñ merī nā-rasāī
kahāñ tere gesuoñ ka, tere dosh par bikharnā
chale lakh chaal duniyā ho zamāna lakh dushman
jo tirī panāh meñ ho use kyā kisī se Darnā
wo kareñge nā-ḳhudāī to lagegī par kashtī
hai 'nasīr' warna mushkil, tirā par yuñ utarnā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.