Sufinama

kamar bāñdhe hue chalne ko yañ sab yar baiThe haiñ

Insha Allah Khan

kamar bāñdhe hue chalne ko yañ sab yar baiThe haiñ

Insha Allah Khan

MORE BYInsha Allah Khan

    kamar bāñdhe hue chalne ko yaañ sab yaar baiThe haiñ

    bahut aage ga.e baaqī jo haiñ tayyār baiThe haiñ

    na chheḌ ai nik.hat-e-bād-e-bahārī raah lag apnī

    tujhe aTkheliyāñ sūjhī haiñ ham be-zār baiThe haiñ

    ḳhayāl un pare hai arsh-e-āzam se kahīñ saaqī

    ġharaz kuchh aur dhun meñ is ghaḌī mai-ḳhvār baiThe haiñ

    basān-e-naqsh-e-pā-e-rah-ravāñ kū-e-tamannā meñ

    nahīñ uThne tāqat kyā kareñ lāchār baiThe haiñ

    ye apnī chaal hai uftādgī se in dinoñ pahroñ

    nazar aayā jahāñ par sāya-e-dīvār baiThe haiñ

    kaheñ haiñ sabr kis ko aah nañg o naam hai kyā shai

    ġharaz ro piiT kar un sab ko ham yak baar baiThe haiñ

    kahīñ bose mat jur.at dilā kar baiThiyo un se

    abhī is had ko vo kaifī nahīñ hushyār baiThe haiñ

    najīboñ ajab kuchh haal hai is daur meñ yaaro

    jise pūchho yahī kahte haiñ ham bekār baiThe haiñ

    na.ī ye vaz.a sharmāne sīkhī aaj hai tum ne

    hamāre paas sāhab varna yuuñ sau baar baiThe haiñ

    kahāñ gardish falak chain detī hai sunā 'inshā'

    ġhanīmat hai ki ham sūrat yahāñ do-chār baiThe haiñ

    kamar bāñdhe hue chalne ko yañ sab yar baiThe haiñ

    bahut aage gae baqī jo haiñ tayyār baiThe haiñ

    na chheḌ ai nikhat-e-bād-e-bahārī rah lag apnī

    tujhe aTkheliyāñ sūjhī haiñ hum be-zār baiThe haiñ

    ḳhayāl un pare hai arsh-e-āzam se kahīñ saqī

    ġharaz kuchh aur dhun meñ is ghaḌī mai-ḳhwār baiThe haiñ

    basān-e-naqsh-e-pā-e-rah-rawāñ kū-e-tamannā meñ

    nahīñ uThne tāqat kyā kareñ lāchār baiThe haiñ

    ye apnī chaal hai uftādgī se in dinoñ pahroñ

    nazar aayā jahāñ par sāya-e-dīwār baiThe haiñ

    kaheñ haiñ sabr kis ko aah nañg o nam hai kyā shai

    ġharaz ro piT kar un sab ko hum yak bar baiThe haiñ

    kahīñ bose mat jurat dilā kar baiThiyo un se

    abhī is had ko wo kaifī nahīñ hushyār baiThe haiñ

    najīboñ ajab kuchh haal hai is daur meñ yaro

    jise pūchho yahī kahte haiñ hum bekār baiThe haiñ

    naī ye waza sharmāne sīkhī aaj hai tum ne

    hamāre pas sāhab warna yuñ sau bar baiThe haiñ

    kahāñ gardish falak chain detī hai sunā 'inshā'

    ġhanīmat hai ki hum sūrat yahāñ do-chār baiThe haiñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now