hayat-e-ishq ka ek sarmadi payam aaya
hayāt-e-'ishq kā ik sarmadī payām aayā
nabī ke naam pe marnā bhī kitnā kaam aayā
tarīq-e-'ishq meñ aisā bhī ik maqām aayā
ḳhudā ke naam se pahle nabī kā naam aayā
yahī samajh ke idhar bhī ho ik nigāh-e-karam
hamāre dar ke ġhulāmoñ kā ik ġhulām aayā
tumhīñ to ārzū-e-dil tumhīñ to maqsad-e-jāñ
na.ī hayāt milī jab tumhārā naam aayā
sagān-e-dar se bhī nisbat hai jin ko hazrat ke
zahe-nasīb agar un meñ hamārā naam aayā
ḳhudā darāz kare 'umr-e-soz-e-'ishq nabī
sulūk ġham kī har ik moḌ par ye kaam aayā
nabī ke mus.haf-e-ruḳh par jahāñ nigāh paḌī
hamāre sāmne sajde kā ik maqām aayā
ḳhatā mu'āf ho parvarda-e-'ināyat kī
huzūr le ke jo maiñ nā't-e-nā-tamām aayā
qadam huzūr ke dekho tumhārā sar dekho
junūñ meñ kab se ye 'kāmil' ḳhayāl-e-ḳhām aayā
hayat-e-'ishq ka ek sarmadi payam aaya
nabi ke nam pe marna bhi kitna kaam aaya
tariq-e-'ishq mein aisa bhi ek maqam aaya
KHuda ke nam se pahle nabi ka nam aaya
yahi samajh ke idhar bhi ho ek nigah-e-karam
hamare dar ke ghulamon ka ek ghulam aaya
tumhin to aarzu-e-dil tumhin to maqsad-e-jaan
nai hayat mili jab tumhaara nam aaya
sagan-e-dar se bhi nisbat hai jin ko hazrat ke
zahe-nasib agar un mein hamara nam aaya
KHuda daraaz kare 'umr-e-soz-e-'ishq nabi
suluk gham ki har ek moD par ye kaam aaya
nabi ke mushaf-e-ruKH par jahan nigah paDi
hamare samne sajde ka ek maqam aaya
KHata mu'af ho parwarda-e-'inayat ki
huzur le ke jo main na't-e-na-tamam aaya
qadam huzur ke dekho tumhaara sar dekho
junun mein kab se ye 'kaamil' KHayal-e-KHam aaya
- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 4)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.