kyun na ashk-bar hua karun kyun na be-qarar raha karun
kyun na ashk-bar hua karun kyun na be-qarar raha karun
Khadim Hasan Ajmeri
MORE BYKhadim Hasan Ajmeri
kyuuñ na ashk-bār huā karūñ kyuuñ na be-qarār rahā karūñ
na qarār aa.e tere sivā to tū hī batā ki maiñ kyā karūñ
tujhe fikr-e-darmāñ hai chāragar mujhe dard apnā 'azīz hai
ye nishānī dī hai habīb ne use kaise dil se judā karūñ
mire dil ko dard 'atā kiyā mujhe dard vaalā banā diyā
tirā shukriya mire dilrubā maiñ karūñ to kaise adā karūñ
mirī ziist kā ho ye mudda'ā mirī maut kā ye ma.aal ho
tire vāste mirī maut ho tire vāste maiñ jiyā karūñ
mujhe 'ḳhādim' us kī jo diid ho to murād dil kī nasīb ho
kabhī sadqe jān-e-hazīñ karūñ kabhī dil ko apne fidā karūñ
kyun na ashk-bar hua karun kyun na be-qarar raha karun
na qarar aae tere siwa to tu hi bata ki main kya karun
tujhe fikr-e-darman hai chaaragar mujhe dard apna 'aziz hai
ye nishani di hai habib ne use kaise dil se juda karun
mere dil ko dard 'ata kiya mujhe dard wala bana diya
tera shukriya mere dilruba main karun to kaise ada karun
meri zist ka ho ye mudda'a meri maut ka ye maal ho
tere waste meri maut ho tere waste main jiya karun
mujhe 'KHadim' us ki jo did ho to murad dil ki nasib ho
kabhi sadqe jaan-e-hazin karun kabhi dil ko apne fida karun
- Book : Naghma-e-Dard
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.