mangte Khaali hath na lauTe kitni mili KHairaat na puchho

mangte Khaali hath na lauTe kitni mili KHairaat na puchho
Khalid Mahmood Naqshbandi
MORE BYKhalid Mahmood Naqshbandi
mañgte ḳhālī haath na lauTe kitnī milī ḳhairāt na pūchho
un kā karam phir un kā karam hai un ke karam kī baat na pūchho
kunto-kanzan rāz-e-mashiyyat jalva-e-asrā nūr-e-hidāyat
jagmag jagmag donoñ 'ālam kaisī hai vo zaat na pūchho
'ishq-e-nabī kaunain kī daulat 'ishq-e-nabī baḳhshish kī zamānat
us se baḌh kar dast-e-talab meñ hai bhī koī sauġhāt na pūchho
rashk-e-jināñ taiba kī galiyāñ har zarra firdaus badāmāñ
chāroñ taraf anvār kā 'ālam rahmat kī barsāt na pūchho
zāhir meñ taskīn-e-dil-o-jāñ bātin meñ me’rāj-e-dil-o-jāñ
nām-e-nabī phir nām-e-nabī hai nām-e-nabī kī baat na pūchho
haal agar kuchh apnā sunāyā un ke karam kā shikva hogā
maiñ apne hālāt meñ ḳhush huuñ mujh se mire hālāt na pūchho
tāj-e-shafā'at sar par pahne hashr kā dūlhā aa pahuñchā hai
āñkheñ kholo ġhaur se dekho kis kī hai bārāt na pūchho
maiñ kyā aur kyā merī haqīqat sab kuchh hai sarkār kī nisbat
maiñ to burā huuñ lekin merī laaj hai kis ke haath na pūchho
'ḳhālid' maiñ sirf itnā kahūñgā jaag uThā ashkoñ kā muqaddar
'ishq-e-nabī meñ rote-rote kaise kaTī hai raat na pūchho
mangte KHali hath na lauTe kitni mili KHairaat na puchho
un ka karam phir un ka karam hai un ke karam ki baat na puchho
kunto-kanzan raaz-e-mashiyyat jalwa-e-asra nur-e-hidayat
jagmag jagmag donon 'alam kaisi hai wo zat na puchho
'ishq-e-nabi kaunain ki daulat 'ishq-e-nabi baKHshish ki zamanat
us se baDh kar dast-e-talab mein hai bhi koi saughat na puchho
rashk-e-jinan taiba ki galiyan har zarra firdaus badaman
chaaron taraf anwar ka 'alam rahmat ki barsat na puchho
zahir mein taskin-e-dil-o-jaan baatin mein me’raj-e-dil-o-jaan
nam-e-nabi phir nam-e-nabi hai nam-e-nabi ki baat na puchho
haal agar kuchh apna sunaya un ke karam ka shikwa hoga
main apne haalat mein KHush hun mujh se mere haalat na puchho
taj-e-shafa'at sar par pahne hashr ka dulha aa pahuncha hai
aankhen kholo ghaur se dekho kis ki hai baraat na puchho
main kya aur kya meri haqiqat sab kuchh hai sarkar ki nisbat
main to bura hun lekin meri laj hai kis ke hath na puchho
'KHalid' main sirf itna kahunga jag uTha ashkon ka muqaddar
'ishq-e-nabi mein rote-rote kaise kaTi hai raat na puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.