KHayal kar ke jo maine dekha usi ki surat chamak rahi hai
ḳhayāl kar ke jo maiñ ne dekhā usī kī sūrat chamak rahī hai
usī kā naqsha hai chār-jānib usī kī rañgat damak rahī hai
tumhāre faiz-e-qadam se jaanā huā hai sarsabz bāġh-e-ālam
tamām is gulshan-e-jahāñ meñ tumhārī ḳhushbū mahak rahī hai
na dard jā.egā chārā-sāzo abas tumhārī hai fikr-o-koshish
kisī hasīñ kī ye nok-e-mizhgāñ hamāre dil meñ khaTak rahī hai
ye bāġh-e-ālam meñ rañg dekhā koī hai ġhamgīñ koī hai ḳhandāñ
kahīñ hai shor-o-fuġhāñ kahīñ pe bulbul chahak rahī hai
ajab tarah kī ye kashmakash hai ki ham ko hai intizār-e-jānāñ
kamar ko bāñdho uThāo bistar ajal sirhāne ye bak rahī hai
basī guloñ meñ usī kī bū hai parī-vashoñ meñ usī ki ḳhū hai
butoñ ke parde meñ dekh 'aughaT' usī kī sūrat jhalak rahī hai
KHayal kar ke jo main ne dekha usi ki surat chamak rahi hai
usi ka naqsha hai chaar-jaanib usi ki rangat damak rahi hai
tumhaare faiz-e-qadam se jaana hua hai sarsabz bagh-e-alam
tamam is gulshan-e-jahan mein tumhaari KHushbu mahak rahi hai
na dard jaega chaara-sazo abas tumhaari hai fikr-o-koshish
kisi hasin ki ye nok-e-mizhgan hamare dil mein khaTak rahi hai
ye bagh-e-alam mein rang dekha koi hai ghamgin koi hai KHandan
kahin hai shor-o-fughan kahin pe bulbul chahak rahi hai
ajab tarah ki ye kashmakash hai ki hum ko hai intizar-e-jaanan
kamar ko bandho uThao bistar ajal sirhane ye bak rahi hai
basi gulon mein usi ki bu hai pari-washon mein usi ki KHu hai
buton ke parde mein dekh 'aughaT' usi ki surat jhalak rahi hai
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 2)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.