dushnam de hai ghair ko tu jaan kar mujhe
dushnām de hai ġhair ko tū jaan kar mujhe
pyāre ye lutf kījiye pahchān kar mujhe
kal kī tarah se aaj bhī ab niiñd aa chukī
gherā usī ḳharābī ne phir aan kar mujhe
kahtā hai ek nigāh pe ā.īna-rū mirā
bas aur ab ziyāda na hairān kar mujhe
aanā ba-banda-ḳhāna agar tujh ko aar hai
daulat-sarā meñ apnī hī mehmān kar mujhe
huuñ rū-ba-rū-e-chashm to maiñ surma-dar-gulū
par kahiyo zulf se na pareshān kar mujhe
sadqe tire maiñ kab ta.iiñ taḌpā karūñ abas
hai roz-e-īd aaj to qurbān kar mujhe
haiñ sher-fahm jitne zamāne meñ lā-ilāj
ai 'dard' mānte haiñ ye sab maan kar mujhe
dushnam de hai ghair ko tu jaan kar mujhe
pyare ye lutf kijiye pahchan kar mujhe
kal ki tarah se aaj bhi ab nind aa chuki
ghera usi KHarabi ne phir aan kar mujhe
kahta hai ek nigah pe aaina-ru mera
bas aur ab ziyaada na hairan kar mujhe
aana ba-banda-KHana agar tujh ko aar hai
daulat-sara mein apni hi mehman kar mujhe
hun ru-ba-ru-e-chashm to main surma-dar-gulu
par kahiyo zulf se na pareshan kar mujhe
sadqe tere main kab tain taDpa karun abas
hai roz-e-id aaj to qurban kar mujhe
hain sher-fahm jitne zamane mein la-ilaj
ai 'dard' mante hain ye sab man kar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.