jaan pe khela hun main mera jigar dekhna
jaan pe khelā huuñ maiñ merā jigar dekhnā
jī na rahe yā rahe mujh ko idhar dekhnā
garche vo ḳhurshīd-rū nit hai mere sāmne
to bhī mayassar nahīñ bhar ke nazar dekhnā
so bhī na to koī dam dekh sakā ai falak
aur to yaañ kuchh na thā ek magar dekhnā
zikr-e-vafā kījiye us se jo vāqif na ho
kahte ho kis se ye tum Tuk to idhar dekhnā
misl-e-sharar tañg chashm-e-hastī be-būd hai
dekh na saktā use Tuk bhī jidhar dekhnā
nāla-e-dil kā asar dekh liyā 'dard' bas
jī meñ na rah jaa.e ye aah bhī kar dekhnā
jaan pe khela hun main mera jigar dekhna
ji na rahe ya rahe mujh ko idhar dekhna
garche wo KHurshid-ru nit hai mere samne
to bhi mayassar nahin bhar ke nazar dekhna
so bhi na to koi dam dekh saka ai falak
aur to yan kuchh na tha ek magar dekhna
zikr-e-wafa kijiye us se jo waqif na ho
kahte ho kis se ye tum Tuk to idhar dekhna
misl-e-sharar tang chashm-e-hasti be-bud hai
dekh na sakta use Tuk bhi jidhar dekhna
nala-e-dil ka asar dekh liya 'dard' bas
ji mein na rah jae ye aah bhi kar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.