la-makan mein ghar banaya yar ne
lā-makāñ meñ ghar banāyā yaar ne
ham ko yaañ dar-dar phirāyā yaar ne
mar ga.e jab ham to vo zāhir huā
dekhiye kab muñh dikhāyā yaar ne
bar-sar-e-bām aake ḳhud jalva kiyā
sab ko hairat meñ phañsāyā yaar ne
saara a.alam ho gayā zer-e-hijāb
ruḳh se jab parda uThāyā yaar ne
aap dekhā us ne apne aap ko
ham ko ā.īna banāyā yaar ne
maiñ to us ko DhūñDhtā hī rah gayā
dil meñ mere ghar banāyā yaar ne
ek sar-e-mū bhī na bigḌeñge kabhī
ham ko kuchh aisā banāyā yaar ne
mere chalne kī ḳhabar mujh ko na kī
aisā dar-parda chalāyā yaar ne
saarā a.alam ho gayā naqsh bar-āb
apnā jab naqsha jamāyā yaar ne
ho gayā dāman jhaTak kar aap alag
ḳhaak meñ ham ko milāyā yaar ne
jab talak ham the na paaya yaar ko
phir to ham ko bhī na paaya yaar ne
kufr-o-dīñ nazroñ se donoñ gir ga.e
aisā nazroñ par chaḌhāyā yaar ne
kar diyā siflī ko 'ulvī' baat meñ
mujh ko vo nukta batāyā yaar ne
la-makan mein ghar banaya yar ne
hum ko yan dar-dar phiraya yar ne
mar gae jab hum to wo zahir hua
dekhiye kab munh dikhaya yar ne
bar-sar-e-baam aake KHud jalwa kiya
sab ko hairat mein phansaya yar ne
sara aalam ho gaya zer-e-hijab
ruKH se jab parda uThaya yar ne
aap dekha us ne apne aap ko
hum ko aaina banaya yar ne
main to us ko DhunDhta hi rah gaya
dil mein mere ghar banaya yar ne
ek sar-e-mu bhi na bigDenge kabhi
hum ko kuchh aisa banaya yar ne
mere chalne ki KHabar mujh ko na ki
aisa dar-parda chalaya yar ne
sara aalam ho gaya naqsh bar-ab
apna jab naqsha jamaya yar ne
ho gaya daman jhaTak kar aap alag
KHak mein hum ko milaya yar ne
jab talak hum the na paya yar ko
phir to hum ko bhi na paya yar ne
kufr-o-din nazron se donon gir gae
aisa nazron par chaDhaya yar ne
kar diya sifli ko 'ulwi' baat mein
mujh ko wo nukta bataya yar ne
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 333)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.