mamur ho raha hai aalam mein nur tera
mamur ho raha hai aalam mein nur tera
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
ma.amūr ho rahā hai a.alam meñ nuur terā
az mā-tā-ba-māhī sab hai zuhūr terā
asrār-e-ahmadī se āgāh ho so jaane
tū nūr-e-har sharar hai har sañg-e-tūr terā
har aañkh tak rahī hai tere hī muñh ko pyāre
har kaan meñ huuñ paatā ma.amūr-e-shor terā
jab jī meñ ye samā.ī jo kuchh ke hai so tū hai
phir dil se duur kab ho qurb-o-huzūr terā
bhātā nahīñ hai vaa.iz juz-dīd-e-haq mujhe kuchh
tujh ko rahe mubārak hūr-o-qusūr terā
vahdat ke haiñ hī jalve naqsh-o-nigār-e-kasrat
gar sirr-e-ma.arifat ko paave shu.ūr terā
gar harf-e-beniyāzī sarzad 'niyāz' se ho
putle meñ ḳhaak ke hai pyāre ġhurūr terā
mamur ho raha hai aalam mein nur tera
az ma-ta-ba-mahi sab hai zuhur tera
asrar-e-ahmadi se aagah ho so jaane
tu nur-e-har sharar hai har sang-e-tur tera
har aankh tak rahi hai tere hi munh ko pyare
har kan mein hun pata mamur-e-shor tera
jab ji mein ye samai jo kuchh ke hai so tu hai
phir dil se dur kab ho qurb-o-huzur tera
bhata nahin hai waiz juz-did-e-haq mujhe kuchh
tujh ko rahe mubarak hur-o-qusur tera
wahdat ke hain hi jalwe naqsh-o-nigar-e-kasrat
gar sirr-e-marifat ko pawe shuur tera
gar harf-e-beniyazi sarzad 'niyaz' se ho
putle mein KHak ke hai pyare ghurur tera
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 133)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.