daim dil-o-nazar pe nuzul-e-sakina hai
daa.im dil-o-nazar pe nuzūl-e-sakīna hai
adnā sā ye kamāl jamāl-e-madīna hai
pahuñchā huuñ un ke dar pe nadāmat banā huā
māthe se kuchh ziyāda hī dil meñ pasīna hai
koī salīqa bosa-e-dahlīz nuur kā
palkoñ se chūmiye jo zarā bhī qarīna hai
lāzim hai pairvī bhī mohabbat ke soz meñ
añgushtarī hai ishq itā.at nagīna hai
vābasta huuñ maiñ dāman-e-āl-e-rasūl se
tūfān-e-nūh meñ ye vasīla safīna hai
daim dil-o-nazar pe nuzul-e-sakina hai
adna sa ye kamal jamal-e-madina hai
pahuncha hun un ke dar pe nadamat bana hua
mathe se kuchh ziyaada hi dil mein pasina hai
koi saliqa bosa-e-dahliz nur ka
palkon se chumiye jo zara bhi qarina hai
lazim hai pairwi bhi mohabbat ke soz mein
angushtari hai ishq itaat nagina hai
wabasta hun main daman-e-al-e-rasul se
tufan-e-nuh mein ye wasila safina hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.