samt kashi se chala jaanib-e-mathura baadal
Interesting Fact
محسنؔ کاکوروی کا یہ نعتیہ قصیدہ ہندوستان کی اکثر یونیورسٹیوں کے نصاب میں شامل ہے۔
samt kāshī se chalā jānib-e-mathurā bādal
barq ke kāñdhe pe laatī hai sabā gañgā jal
ghar meñ ashnān kareñ sarv-e-qadān-e-gokul
jā ke jamunā pe nahānā bhī hai ik tuul 'amal
ḳhabar uḌtī huī aa.ī hai mahāban meñ abhī
ki chale aate haiñ thīrth ko havā par bādal
tah-o-bālā kiye dete haiñ havā ke jhoñke
beḌe bhādoñ ke nikalte haiñ bhare gañgā jal
kabhī Duubī kabhī uchhlī mah-e-nau kī kashtī
bahr-e-aḳhzar meñ talātum se paḌī hai halchal
shab-e-daijūr añdhere meñ hai bādal ke nihāñ
lailā-e-mahmil meñ hai Daale hue muñh par āñchal
ātish-e-gul kā dhuāñ bām-e-falak par pahuñchā
jam gayā manzil-e-ḳhurshīd kī chhat meñ kājal
jis taraf se ga.ī bijlī phir idhar aa na sakī
qila-e-charḳh meñ hai bhūl-bhulayyāñ bādal
ā.īna aab tamavvuj se bahā jaatā hai
kahiye tasvīr se girnā na kahīñ dekh sambhal
aaj ye nushv-o-numā kā hai sitāra chamkā
shāḳh meñ kāhkashāñ ki nikal aa.ī kopal
ḳhizr farmāte haiñ sumbul se tirī 'umr-e-drāz
phuul se kahte haiñ phaltā rahe gulzār-e-amal
dekhte-dekhte baḌh jaatī hai gulshan kī bahār
dīda-e-nargis-e-shahlā ko na samjho ahval
lahreñ letā hai jo bijlī ke muqābil sabza
charḳh par bādalā phailā hai zamīñ par maḳhmal
ham-zabāñ vasf-e-chaman meñ hue sab ahl-e-chaman
tūtiyoñ kī hai jo tazmīn to bulbul kī ġhazal
jugnū phirte haiñ jo gulbun meñ to aatī hai nazar
mus.haf-e-gul ke havāshī pe tilā.ī jadval
shāḳh par phuul haiñ jumbish meñ zamīñ par sumbul
sab havā khāte haiñ gulshan meñ savār-o-paidal
aah qumrī meñ mazā aur maze meñ tāsīr
sarv meñ dekhiye phuul aane lage phuul meñ phal
ḳhanda-hā-e-gul-e-qālīñ se huā shor-e-nushūr
kyā 'ajab hai jo pareshān hai ḳhvāb-e-maḳhmal
shāḳh-e-shamshād pe qumrī se kaho chheḌe malār
naunihālān-e-gulistāñ ko sunā.e ye ġhazal
turfa gardish meñ giraftār 'ajab pher meñ hai
surma hai niiñd mirī dīda-e-bedār kharal
samt kāshī se gayā jānib-e-mathurā bādal
tairtā hai kabhī gañgā kabhī jamunā bādal
samt kāshī se gayā jānib-e-mathurā bādal
burj meñ aaj sar-e-kishn hai kaalā bādal
shāhid-e-gul kā liye saath hai Dolā bādal
barq kahtī hai mubārak tujhe sehrā bādal
kHuub chhāyā hai sar-e-gokul-o-mathurā bādal
rañg meñ aaj kanhaiyā ke hai Duubā bādal
sat.h-e-aflāk nazar aatī hai gañgā-jamunī
ruup bijlī kā sunahrā hai rūpahlā bādal
charḳh par bijlī kī chal phir se nazar aatā hai
sabza chamkā.e hilātā huā barchhā bādal
bijlī do chaar qadam chal ke palaT jaa.e na kyuuñ
vo añdherā hai ki phirtā hai bhaTaktā bādal
jab talak burj meñ jamunā hai ye khulne kā nahīñ
hai qasam khaa.e uThā.e hue gañgā bādal
chashma-e-mahr hai aks-e-zar-e-gul se dariyā
partav-e-barq se hai sone kā bajrā bādal
mirī āñkhoñ meñ samātā nahīñ ye josh-o-ḳharosh
kisī be-dard ko dikhlā ye karishma bādal
tapish-e-dil kā uḌāyā huā naqsha bijlī
chashm-e-pur aab kā dhoyā huā ḳhāka bādal
dil-e-be-tāb kī adnā sī chamak hai bijlī
chashm-e-pur-āb kā hai ek karishma bādal
apnī kam-zarfiyoñ se laakh falak par chaḌh jaa.e
merī āñkhoñ kā hai utrā huā sadqa bādal
kuchh hañsī khel nahīñ joshish-e-girya kā zabt
ye mirā dil hai ye merā hai kalejā bādal
raaja andar hai parī-kHāna-e-mai kā paanī
naġhma-e-mai kā sar-e-kishn kanhaiyā bādal
dekhtā gar kahīñ 'mohsin' kī fuġhān-o-zārī
na garajtā kabhī aisā na barastā bādal
phir chalā ḳhāma qasīda kī taraf bā'd-e-ġhazal
ki hai chakkar meñ suḳhan-go kā dimāġh-e-muḳhtal
mai-e-gul-rañg hai kyā sham'-e-shab-e-fikr kā phuul
chalte-chalte jo qalam haath se jaatā hai nikal
hai suḳhan-go ko na inshā kī na imlā kī ḳhabar
hoga.ī nazm kī inshā kī ḳhabar sab muhmal
dil meñ kuchh aur hai par muñh se nikaltā hai kuchh aur
lafz be-mā'nī haiñ aur mā'nī haiñ sab be-aTkal
kitnā be-qaid huā kitnā ye āvāra phirā
koī mandir na bachā us se na koī astal
kabhī gañgā pe bhaTaktā hai kabhī jamunā par
ghāghrā par kabhī guzrā kabhī sū-e-chammal
chhīñTe dene se na mahfūz rahī qulzum-o-nīl
na bachā ḳhaak uḌāne se koī dasht-o-jabal
haañ ye sach hai ki tabī'at ne uḌāyā jo ġhubār
huī ā.īna-e-mazmūñ kī do-chandāñ saiqal
ik zarā dekhiye kaifiyat-e-me'arāj-e-suḳhan
haath meñ jām-e-zuhal shīsha-e-mah zer-e-baġhal
girte paḌte kahāñ mastāna kahāñ rakkhā paañv
ki tasavvur bhī jahāñ jā na sake farq ke bal
yā'nī us nuur ke maidān meñ pahuñchā ki jahāñ
ḳhirman-e-barq-e-tajallī kā laqab hai bādal
tār-e-bārān-e-musalsal hai malā.ik kā durūd
bahr-e-tasbīh ḳhudāvand jahāñ 'azz-o-jal
kahīñ tuubā kahīñ kausar kahīñ firdaus-e-barīñ
kahīñ bahtī huī nahr-e-labn-o-'asal
kahīñ jibrīl hukūmat pe kahīñ isrāfīl
kahīñ rizvāñ kā kahīñ sāqī-e-kausar kā 'amal
kanz-e-maḳhfī ke kisī samt nihāñ tah-kHāne
ik taraf maz.har-e-qudrat ke 'ayāñ shīsh-mahal
āshiq-e-jalva talab-gār kahīñ chashm-e-qubūl
nāz-e-mahbūb ke parde meñ kahīñ husn-e-'amal
gul-e-be-rañgī-e-mutlaq se lahakte gulzār
be-niyāzī ke riyāhīñ se mahakte jañgal
bāġh-e-tanzīh meñ sarsabz nihāl-e-tashbīh
ambiyā jis kī haiñ shāḳheñ 'urfā haiñ kopal
gul-e-ḳhush-rañg rasūl-e-madanī 'arabī
zeb-e-dāmān-e-abad turra-e-dastār-e-azal
na koī us kā mushābah hai na ham-sar na nazīr
na koī us kā mumāsil na muqābil na badal
auj-e-rif'at kā qamar naḳhl-e-do-'ālam kā samar
bahr-e-vahdat kā guhar chashma-kasrat kā kañval
mehr-e-tauhīd kī zau auj-e-sharaf kā mah-e-nau
sham'-e-ījād kī lau bazm-e-risālat kā kañval
marja'-e-rūh-e-amīñ zeb-dih 'arsh-e-barīñ
hāmī-e-dīn-e-matīñ nāsiḳh-e-adiyān-o-milal
haft-e-'iqlīm-e-vilāyat meñ shah-e-'ālī-jāh
chaar atrāf-e-hidāyat meñ nabī-e-mursal
jī meñ aatā hai likhūñ matla'-e-barjasta agar
vajd meñ aa ke qalam haath se jaa.e na uchhal
muntaḳhab nusḳha-e-vahdat kā ye thā roz-e-azal
ki na ahmad kā hai saanī na ahad kā avval
daur-e-ḳhurshīd kī bhī hashr meñ ho jā.egī sub.h
tā abad dūr-e-mohammad kā hai roz-e-avval
shab-e-isrā meñ tajallī se rū-e-anvar kī
paḌ ga.ī gardan-e-zafraf meñ sunahrī haikal
sajda-e-shukr meñ hai nāsiya-e-'arsh-e-barīñ
ḳhaak se pā-e-muqaddas kī lagā kar sandal
afzaliyyat pe tirī mushtamil āsār-o-kutub
avāliyat pe tirī muttafiq adyān-o-milal
lutf se tere huī shaukat-e-īmāñ mohkam
qahr se saltanat-e-kufar huī mustāsil
jis taraf haath baḌhīñ kufr ke chhaT jaa.eñ qadam
jis jagah paañv rakheñ sajda kareñ lāt-o-hubal
ho sakā hai kahīñ mahbūb-e-ḳhudā ġhair-e-ḳhudā
ik zarā dekh samajh kar mari chashm-e-ahval
raf’ hone kā na thā vahdat-o-kasrat kā ḳhilāf
miim ahmad ne kiyā aa ke ye qissa faisal
nazar aa.e mujhe ahmad meñ agar dāl-e-duī
roz-e-mahshar huuñ ilāhī merī āñkheñ ahval
phir usī tarz kī mushtāq hai mavvājī-e-tab’
ki hai us bahr meñ ik qāfiya achchhā bādal
kyā jhukā kā'be kī jānib ko hai qibla bādal
sajde karatā hai sū-e-taiba-o-batahā bādal
chhoḌ kar but-kada-e-hind-o-sanam-kHāna-e-burj
aaj kā’ba meñ bichhā.e hai musallā bādal
sabza-e-charḳh ko añdhyārī lagā kar laayā
shahsavār-e-’arabī ke liye kaalā bādal
bahr-e-imkā۔n meñ rasūl-e-’arabī durr-e-yatīm
rahmat-e-ḳhās ḳhudāvand-e-tā'tā bādal
qibla-e-ahl-e-nazar kā'ba-e-abrū-e-huzūr
mū-e-sar qible ko ghere hue kaalā bādal
rashk se sho.ala-e-ruḳhsār ke rotī hai baraq
barq ke muñh pe rakkhe hue pallā bādal
duur pahuñchī lab-e-jāñ-baḳhsh-e-nabī kī shohrat
sun zarā kahte haiñ kyā hazrat-e-īsā.ī bādal
chashm-e-insāf se dekh aap ke dandān-e-sharīf
durr-e-yaktā hai terā garche yagāna bādal
thā bandhā taar farishtoñ kā dar-e-aqdas par
shab-e-me’arāj meñ thā 'arsh-e-mu'allā bādal
āmad-o-raft meñ thā ham-qadam-e-barq burrāq
murġh-zār-e-chaman-e-’ālam-e-bālā bādal
haf-iqlīm meñ us diiñ kā bajā hai Dañkā
thā tirī aam risālat kā garajtā bādal
āstāne kā tire dahr meñ vo rutba hai
ki jo niklā to jhukā.e hue kāñdhā bādal
tū vo faiyyaz hai dar par tire saa.il kī tarah
falak-e-pīr ko laayā diye kāñdhā bādal
teġh-e-maidān-e-shujā’at meñ chamaktī bijlī
haath gulzār-e-saḳhāvat meñ barastā bādal
'mohsin' ab kījiye gulzār-e-munājāt kī sair
ki ijābat kā chalā aatā hai gahirā bādal
sab se ’aalā tirī sarkār hai sab se afzal
mere īmān-e-mufassal kā yahī hai mujmal
hai tamannā ki rahe naa’t se terī ḳhālī
na mirā sher na qit.a na qasīda na ġhazal
dīn-o-duniyā meñ kisī kā na sahārā ho mujhe
sirf terā hī bharosa tirī quvvat tirā bal
ho mirā resha-e-ummīd vo naḳhl-e-sarsabz
jis kī har shāḳh meñ ho phuul har ik phuul meñ phal
aarzū hai ki tirā dhyān rahe tā-dam-e-marg
shakl terī nazar aa.e mujhe jab aa.e ajal
ruuh se merī kahīñ pyaar se yuuñ 'izrā.īl
ki mirī jaan madīne ko jo chaltī hai to chal
dam-e-murdan ye ishāra ho shafā.at kā tirī
fikr-e-fardā tu na kar dekh liyā jā.egā kal
yād-e-ā.īna-e-ruḳhsār se hairat ho mujhe
gosha-e-qabr nazar aa.e mujhe shīsh-mahal
mezbāñ ban ke nakīrain kaheñ ghar hai tirā
na uThānā koī taklīf na honā bekal
ruḳh-e-anvar kā tire dhyān rahe bā’d-e-fanā
mere ham-rāh chale rāh-e-adam meñ mash’al
hazf hoñ mere gunāhān-e-saqīl aur ḳhafīf
aa.eñ mīzāñ meñ jab af’āl-e-sahīh-o-mo’tal
merī shāmat se ho ārāsta gesū-e-siyāh
’āriz-e-shāhid-e-mahshar ho agar husn-e-’amal
saf-e-mehshar meñ tire saath ho terā maddāh
haath meñ ho yahī mastāna qasīda ye ġhazal
kaheñ jibrīl ishāre se ki haañ bismillāh
samt kāshī se chalā jānib-e-mathurā bādal
samt kashi se chala jaanib-e-mathura baadal
barq ke kandhe pe lati hai saba ganga jal
ghar mein ashnan karen sarw-e-qadan-e-gokul
ja ke jamuna pe nahana bhi hai ek tul 'amal
KHabar uDti hui aai hai mahaban mein abhi
ki chale aate hain thirth ko hawa par baadal
tah-o-baala kiye dete hain hawa ke jhonke
beDe bhadon ke nikalte hain bhare ganga jal
kabhi Dubi kabhi uchhli mah-e-nau ki kashti
bahr-e-aKHzar mein talatum se paDi hai halchal
shab-e-daijur andhere mein hai baadal ke nihan
laila-e-mahmil mein hai Dale hue munh par aanchal
aatish-e-gul ka dhuan baam-e-falak par pahuncha
jam gaya manzil-e-KHurshid ki chhat mein kajal
jis taraf se gai bijli phir idhar aa na saki
qila-e-charKH mein hai bhul-bhulayyan baadal
aaina aab tamawwuj se baha jata hai
kahiye taswir se girna na kahin dekh sambhal
aaj ye nushw-o-numa ka hai sitara chamka
shaKH mein kahkashan ki nikal aai kopal
KHizr farmate hain sumbul se teri 'umr-e-draaz
phul se kahte hain phalta rahe gulzar-e-amal
dekhte-dekhte baDh jati hai gulshan ki bahaar
dida-e-nargis-e-shahla ko na samjho ahwal
lahren leta hai jo bijli ke muqabil sabza
charKH par baadala phaila hai zamin par maKHmal
ham-zaban wasf-e-chaman mein hue sab ahl-e-chaman
tutiyon ki hai jo tazmin to bulbul ki ghazal
jugnu phirte hain jo gulbun mein to aati hai nazar
mushaf-e-gul ke hawashi pe tilai jadwal
shaKH par phul hain jumbish mein zamin par sumbul
sab hawa khate hain gulshan mein sawar-o-paidal
aah qumri mein maza aur maze mein tasir
sarw mein dekhiye phul aane lage phul mein phal
KHanda-ha-e-gul-e-qalin se hua shor-e-nushur
kya 'ajab hai jo pareshan hai KHwab-e-maKHmal
shaKH-e-shamshad pe qumri se kaho chheDe malar
naunihaalan-e-gulistan ko sunae ye ghazal
turfa gardish mein giraftar 'ajab pher mein hai
surma hai nind meri dida-e-bedar kharal
samt kashi se gaya jaanib-e-mathura baadal
tairta hai kabhi ganga kabhi jamuna baadal
samt kashi se gaya jaanib-e-mathura baadal
burj mein aaj sar-e-kishn hai kala baadal
shahid-e-gul ka liye sath hai Dola baadal
barq kahti hai mubarak tujhe sehra baadal
kHub chhaya hai sar-e-gokul-o-mathura baadal
rang mein aaj kanhaiya ke hai Duba baadal
sath-e-aflak nazar aati hai ganga-jamuni
rup bijli ka sunahra hai rupahla baadal
charKH par bijli ki chal phir se nazar aata hai
sabza chamkae hilata hua barchha baadal
bijli do chaar qadam chal ke palaT jae na kyun
wo andhera hai ki phirta hai bhaTakta baadal
jab talak burj mein jamuna hai ye khulne ka nahin
hai qasam khae uThae hue ganga baadal
chashma-e-mahr hai aks-e-zar-e-gul se dariya
partaw-e-barq se hai sone ka bajra baadal
meri aankhon mein samata nahin ye josh-o-KHarosh
kisi be-dard ko dikhla ye karishma baadal
tapish-e-dil ka uDaya hua naqsha bijli
chashm-e-pur aab ka dhoya hua KHaka baadal
dil-e-be-tab ki adna si chamak hai bijli
chashm-e-pur-ab ka hai ek karishma baadal
apni kam-zarfiyon se lakh falak par chaDh jae
meri aankhon ka hai utra hua sadqa baadal
kuchh hansi khel nahin joshish-e-girya ka zabt
ye mera dil hai ye mera hai kaleja baadal
raja andar hai pari-kHana-e-mai ka pani
naghma-e-mai ka sar-e-kishn kanhaiya baadal
dekhta gar kahin 'mohsin' ki fughan-o-zari
na garajta kabhi aisa na barasta baadal
phir chala KHama qasida ki taraf ba'd-e-ghazal
ki hai chakkar mein suKHan-go ka dimagh-e-muKHtal
mai-e-gul-rang hai kya sham'-e-shab-e-fikr ka phul
chalte-chalte jo qalam hath se jata hai nikal
hai suKHan-go ko na insha ki na imla ki KHabar
hogai nazm ki insha ki KHabar sab muhmal
dil mein kuchh aur hai par munh se nikalta hai kuchh aur
lafz be-ma'ni hain aur ma'ni hain sab be-aTkal
kitna be-qaid hua kitna ye aawara phira
koi mandir na bacha us se na koi astal
kabhi ganga pe bhaTakta hai kabhi jamuna par
ghaghra par kabhi guzra kabhi su-e-chammal
chhinTe dene se na mahfuz rahi qulzum-o-nil
na bacha KHak uDane se koi dasht-o-jabal
han ye sach hai ki tabi'at ne uDaya jo ghubar
hui aaina-e-mazmun ki do-chandan saiqal
ek zara dekhiye kaifiyat-e-me'araj-e-suKHan
hath mein jam-e-zuhal shisha-e-mah zer-e-baghal
girte paDte kahan mastana kahan rakkha panw
ki tasawwur bhi jahan ja na sake farq ke bal
ya'ni us nur ke maidan mein pahuncha ki jahan
KHirman-e-barq-e-tajalli ka laqab hai baadal
tar-e-baran-e-musalsal hai malaik ka durud
bahr-e-tasbih KHudawand jahan 'azz-o-jal
kahin tuba kahin kausar kahin firdaus-e-barin
kahin bahti hui nahr-e-labn-o-'asal
kahin jibril hukumat pe kahin israfil
kahin rizwan ka kahin saqi-e-kausar ka 'amal
kanz-e-maKHfi ke kisi samt nihan tah-kHane
ek taraf mazhar-e-qudrat ke 'ayan shish-mahal
aashiq-e-jalwa talab-gar kahin chashm-e-qubul
naz-e-mahbub ke parde mein kahin husn-e-'amal
gul-e-be-rangi-e-mutlaq se lahakte gulzar
be-niyazi ke riyahin se mahakte jangal
bagh-e-tanzih mein sarsabz nihaal-e-tashbih
ambiya jis ki hain shaKHen 'urfa hain kopal
gul-e-KHush-rang rasul-e-madani 'arabi
zeb-e-daman-e-abad turra-e-dastar-e-azal
na koi us ka mushabah hai na ham-sar na nazir
na koi us ka mumasil na muqabil na badal
auj-e-rif'at ka qamar naKHl-e-do-'alam ka samar
bahr-e-wahdat ka guhar chashma-kasrat ka kanwal
mehr-e-tauhid ki zau auj-e-sharaf ka mah-e-nau
sham'-e-ijad ki lau bazm-e-risalat ka kanwal
marja'-e-ruh-e-amin zeb-dih 'arsh-e-barin
hami-e-din-e-matin nasiKH-e-adiyan-o-milal
haft-e-'iqlim-e-wilayat mein shah-e-'ali-jah
chaar atraf-e-hidayat mein nabi-e-mursal
ji mein aata hai likhun matla'-e-barjasta agar
wajd mein aa ke qalam hath se jae na uchhal
muntaKHab nusKHa-e-wahdat ka ye tha roz-e-azal
ki na ahmad ka hai sani na ahad ka awwal
daur-e-KHurshid ki bhi hashr mein ho jaegi subh
ta abad dur-e-mohammad ka hai roz-e-awwal
shab-e-isra mein tajalli se ru-e-anwar ki
paD gai gardan-e-zafraf mein sunahri haikal
sajda-e-shukr mein hai nasiya-e-'arsh-e-barin
KHak se pa-e-muqaddas ki laga kar sandal
afzaliyyat pe teri mushtamil aasar-o-kutub
awaliyat pe teri muttafiq adyan-o-milal
lutf se tere hui shaukat-e-iman mohkam
qahr se saltanat-e-kufar hui mustasil
jis taraf hath baDhin kufr ke chhaT jaen qadam
jis jagah panw rakhen sajda karen lat-o-hubal
ho saka hai kahin mahbub-e-KHuda ghair-e-KHuda
ek zara dekh samajh kar mari chashm-e-ahwal
raf’ hone ka na tha wahdat-o-kasrat ka KHilaf
mim ahmad ne kiya aa ke ye qissa faisal
nazar aae mujhe ahmad mein agar dal-e-dui
roz-e-mahshar hun ilahi meri aankhen ahwal
phir usi tarz ki mushtaq hai mawwaji-e-tab’
ki hai us bahr mein ek qafiya achchha baadal
kya jhuka ka'be ki jaanib ko hai qibla baadal
sajde karata hai su-e-taiba-o-bataha baadal
chhoD kar but-kada-e-hind-o-sanam-kHana-e-burj
aaj ka’ba mein bichhae hai musalla baadal
sabza-e-charKH ko andhyari laga kar laya
shahsawar-e-’arabi ke liye kala baadal
bahr-e-imka۔n mein rasul-e-’arabi durr-e-yatim
rahmat-e-KHas KHudawand-e-ta'ta baadal
qibla-e-ahl-e-nazar ka'ba-e-abru-e-huzur
mu-e-sar qible ko ghere hue kala baadal
rashk se shoala-e-ruKHsar ke roti hai baraq
barq ke munh pe rakkhe hue palla baadal
dur pahunchi lab-e-jaan-baKHsh-e-nabi ki shohrat
sun zara kahte hain kya hazrat-e-isai baadal
chashm-e-insaf se dekh aap ke dandan-e-sharif
durr-e-yakta hai tera garche yagana baadal
tha bandha tar farishton ka dar-e-aqdas par
shab-e-me’araj mein tha 'arsh-e-mu'alla baadal
aamad-o-raft mein tha ham-qadam-e-barq burraq
murgh-zar-e-chaman-e-’alam-e-baala baadal
haf-iqlim mein us din ka baja hai Danka
tha teri aam risalat ka garajta baadal
aastane ka tere dahr mein wo rutba hai
ki jo nikla to jhukae hue kandha baadal
tu wo faiyyaz hai dar par tere sail ki tarah
falak-e-pir ko laya diye kandha baadal
tegh-e-maidan-e-shuja’at mein chamakti bijli
hath gulzar-e-saKHawat mein barasta baadal
'mohsin' ab kijiye gulzar-e-munajat ki sair
ki ijabat ka chala aata hai gahira baadal
sab se ’ala teri sarkar hai sab se afzal
mere iman-e-mufassal ka yahi hai mujmal
hai tamanna ki rahe na’t se teri KHali
na mera sher na qita na qasida na ghazal
din-o-duniya mein kisi ka na sahaara ho mujhe
sirf tera hi bharosa teri quwwat tera bal
ho mera resha-e-ummid wo naKHl-e-sarsabz
jis ki har shaKH mein ho phul har ek phul mein phal
aarzu hai ki tera dhyan rahe ta-dam-e-marg
shakl teri nazar aae mujhe jab aae ajal
ruh se meri kahin pyar se yun 'izrail
ki meri jaan madine ko jo chalti hai to chal
dam-e-murdan ye ishaara ho shafaat ka teri
fikr-e-farda tu na kar dekh liya jaega kal
yaad-e-aina-e-ruKHsar se hairat ho mujhe
gosha-e-qabr nazar aae mujhe shish-mahal
mezban ban ke nakirain kahen ghar hai tera
na uThana koi taklif na hona bekal
ruKH-e-anwar ka tere dhyan rahe ba’d-e-fana
mere ham-rah chale rah-e-adam mein mash’al
hazf hon mere gunahan-e-saqil aur KHafif
aaen mizan mein jab af’al-e-sahih-o-mo’tal
meri shamat se ho aarasta gesu-e-siyah
’ariz-e-shahid-e-mahshar ho agar husn-e-’amal
saf-e-mehshar mein tere sath ho tera maddah
hath mein ho yahi mastana qasida ye ghazal
kahen jibril ishaare se ki han bismillah
samt kashi se chala jaanib-e-mathura baadal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.