muddat huī hai yar ko mehmāñ kiye hue
muddat huī hai yaar ko mehmāñ kiye hue
josh-e-qadah se bazm charāġhāñ kiye hue
kartā huuñ jam.a phir jigar-e-laḳht-laḳht ko
arsa huā hai dāvat-e-mizhgāñ kiye hue
phir vaz-e-ehtiyāt se rukne lagā hai dam
barsoñ hue haiñ chaak garebāñ kiye hue
phir garm-nāla-hā-e-sharar-bār hai nafas
muddat huī hai sair-e-charāġhāñ kiye hue
phir pursish-e-jarāhat-e-dil ko chalā hai ishq
sāmān-e-sad-hazār namak-dāñ kiye hue
phir bhar rahā huuñ ḳhāma-e-mizhgāñ ba-ḳhūn-e-dil
sāz-e-chaman tarāzi-e-dāmāñ kiye hue
bāham-digar hue haiñ dil o diida phir raqīb
nazzāra o ḳhayāl kā sāmāñ kiye hue
dil phir tavāf-e-kū-e-malāmat ko jaa.e hai
pindār kā sanam-kada vīrāñ kiye hue
phir shauq kar rahā hai ḳharīdār kī talab
arz-e-matā-e-aql-o-dil-o-jāñ kiye hue
dauḌe hai phir har ek gul-o-lāla par ḳhayāl
sad-gulistāñ nigāh kā sāmāñ kiye hue
phir chāhtā huuñ nāma-e-dildār kholnā
jaañ nazr-e-dil-farebi-e-unvāñ kiye hue
māñge hai phir kisī ko lab-e-bām par havas
zulf-e-siyāh ruḳh pe pareshāñ kiye hue
chāhe hai phir kisī ko muqābil meñ aarzū
surme se tez dashna-e-mizhgāñ kiye hue
ik nau-bahār-e-nāz ko taake hai phir nigāh
chehra faroġh-e-mai se gulistāñ kiye hue
phir jī meñ hai ki dar pe kisī ke paḌe raheñ
sar zer-bār-e-minnat-e-darbāñ kiye hue
jī DhūñDtā hai phir vahī fursat ki raat din
baiThe raheñ tasavvur-e-jānāñ kiye hue
'ġhālib' hameñ na chheḌ ki phir josh-e-ashk se
baiThe haiñ ham tahayya-e-tūfāñ kiye hue
muddat huī hai yar ko mehmāñ kiye hue
josh-e-qadah se bazm charāġhāñ kiye hue
kartā huñ jama phir jigar-e-laḳht-laḳht ko
arsa huā hai dāwat-e-mizhgāñ kiye hue
phir waz-e-ehtiyāt se rukne lagā hai dam
barsoñ hue haiñ chaak garebāñ kiye hue
phir garm-nāla-hā-e-sharar-bār hai nafas
muddat huī hai sair-e-charāġhāñ kiye hue
phir pursish-e-jarāhat-e-dil ko chalā hai ishq
sāmān-e-sad-hazār namak-dāñ kiye hue
phir bhar rahā huñ ḳhāma-e-mizhgāñ ba-ḳhūn-e-dil
sāz-e-chaman tarāzi-e-dāmāñ kiye hue
bāham-digar hue haiñ dil o dida phir raqīb
nazzāra o ḳhayāl kā sāmāñ kiye hue
dil phir tawāf-e-kū-e-malāmat ko jae hai
pindār kā sanam-kada wīrāñ kiye hue
phir shauq kar rahā hai ḳharīdār kī talab
arz-e-matā-e-aql-o-dil-o-jāñ kiye hue
dauḌe hai phir har ek gul-o-lāla par ḳhayāl
sad-gulistāñ nigāh kā sāmāñ kiye hue
phir chāhtā huñ nāma-e-dildār kholnā
jañ nazr-e-dil-farebi-e-unwāñ kiye hue
māñge hai phir kisī ko lab-e-bām par hawas
zulf-e-siyāh ruḳh pe pareshāñ kiye hue
chāhe hai phir kisī ko muqābil meñ aarzū
surme se tez dashna-e-mizhgāñ kiye hue
ek nau-bahār-e-nāz ko take hai phir nigāh
chehra faroġh-e-mai se gulistāñ kiye hue
phir jī meñ hai ki dar pe kisī ke paḌe raheñ
sar zer-bār-e-minnat-e-darbāñ kiye hue
jī DhūñDtā hai phir wahī fursat ki raat din
baiThe raheñ tasawwur-e-jānāñ kiye hue
'ġhālib' hameñ na chheḌ ki phir josh-e-ashk se
baiThe haiñ hum tahayya-e-tūfāñ kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.