do-jahan mein koi tum sa dusra milta nahin
do-jahāñ meñ koī tum sā dūsrā miltā nahīñ
DhūñDte phirte haiñ mehr-o-mah patā miltā nahīñ
āb-e-bahr-e-'ishq-e-jānāñ siina meñ hai maujzan
kaun kahtā hai hameñ āb-e-baqā miltā nahīñ
āb-e-teġh-e-'ishq pī kar zinda-e-jāved ho
ġham na kar jo chashma-e-āb-e-baqā miltā nahīñ
Duub tū bahr-e-fanā meñ phir baqā pā.egā tū
qabl az bahr-e-fanā bahr-e-baqā miltā nahīñ
duniyā hai aur apnā matlab be-ġharaz matlab koī
āshnā miltā nahīñ nā-āshnā miltā nahīñ
zarra-zarra ḳhaak kā chamkā hai jis ke nuur se
be-basīrat hai jise vo mah-laqā miltā nahīñ
jo ḳhudā detā hai miltā hai usī sarkār se
kuchh kisī ko haq se us dar ke sivā miltā nahīñ
kyā ’ilāqa dushman-e-mahbūb ko allāh se
be-razā-e-mustafā hargiz ḳhudā miltā nahīñ
koī māñge yā na māñge milne kā dar hai yahī
be-'atā-e-mustafā.ī mudda'ā miltā nahīñ
rahnumāoñ kī sī sūrat rāh-mārī kaam hai
rāh-zan haiñ kū-ba-kū aur rahnumā miltā nahīñ
ahle-gahle haiñ mashā.iḳh āj-kal har har galī
be-hama-o-bā-hama mard-e-ḳhudā miltā nahīñ
haiñ safā.e zāhirī ke yuuñ to sāmāñ kHuub kHuub
jis kā bātin saaf ho vo bā-safā miltā nahīñ
bar zabāñ tasbīh-o-dar dil gāv-kHar kā daur hai
aise milte haiñ bahut us se varā miltā nahīñ
bas yahī sarkār hai jis se hamesha pā.eñge
dene vaale dete haiñ kuchh din sadā miltā nahīñ
duur sāhil mauj haa.il paar beḌā kījiye
naav hai mañjdhār meñ aur nāḳhudā miltā nahīñ
vasl-e-maulā chāhte ho to vasīla DhūñD lo
be-vasīla dahriyo hargiz ḳhudā miltā nahīñ
dāman-e-mahbūb chhoḌe māñgai ḳhud allāh se
aise mardak ko ḳhudā se mudda'ā miltā nahīñ
zarra-zarra qatra-qatra se 'ayāñ phir bhī nihāñ
jaañ kī tarh dil uḌ ke jā baiThā
pahlū meñ abhī thā kyā huā miltā nahīñ
uljhā huā hai dahr ke phandoñ meñ yauñ
uljhā sāmne hai aur sirā miltā nahīñ
sān.e.a hotā hai masnūa se lekin
kar masnūa sān.e.a kā patā miltā nahīñ
kaunain dete haiñ do aalam ko yahī
dekho un se tum dekho to kyā miltā nahīñ
sab se phir kar aa.e haiñ ab shaah vaalā ke
tumhāre shāfe' roz jazā miltā nahīñ
de jo apne dard kī hakmī davā miltā nahīñ
jin se ummīd karam thī de diyā sab ne
aaj ke kaam aane vaalā ḳhusravāñ miltā nahīñ
kā aalam hai sab se aas toḌe aa.e haiñ
vaalā ke sivā aur aasrā miltā nahīñ
jal rahe haiñ phuñk rahe haiñ
vo haiñ ḳhurshed risālat nuur kā saaya
in ke farzī zil se bhī zil humā miltā nahīñ
dushman jaañ se kahīñ hai dushman diin kā
in ke dushman se kabhī un kā gadā miltā nahīñ
mustafā mā jat illā rahm
ham to ham rah ambiyā ke bhī liye haiñ vāsta
ambiyā baa.az faa.ez haiñ is sarkār meñ
aalam paate haiñ sadqa isī sarkār kā
ḳhud fidā se paa.e un ke sivā miltā nahīñ
duniyā kaisā uf sunte nahīñ faryād bhī
vaalā dard kā koī shahā miltā nahīñ
jo muhib kī chiiz hai mahbūb ke qabze kī hai
meñ jis ke ho sab kuchh is se kiyā miltā nahīñ
dil satānī karne vaale haiñ hazāroñ dil rubā
dil gayā achchhā huā is kā nahīñ ġham hai to ye
rah gayā pahlū se jo vo dil rubā miltā nahīñ
bhī beTe ko maañ se be sadā miltā nahīñ
ro ke dushmanoñ ne rāsta miltā nahīñ
do-jahan mein koi tum sa dusra milta nahin
DhunDte phirte hain mehr-o-mah pata milta nahin
aab-e-bahr-e-'ishq-e-jaanan sina mein hai maujzan
kaun kahta hai hamein aab-e-baqa milta nahin
aab-e-tegh-e-'ishq pi kar zinda-e-jawed ho
gham na kar jo chashma-e-ab-e-baqa milta nahin
Dub tu bahr-e-fana mein phir baqa paega tu
qabl az bahr-e-fana bahr-e-baqa milta nahin
duniya hai aur apna matlab be-gharaz matlab koi
aashna milta nahin na-ashna milta nahin
zarra-zarra KHak ka chamka hai jis ke nur se
be-basirat hai jise wo mah-laqa milta nahin
jo KHuda deta hai milta hai usi sarkar se
kuchh kisi ko haq se us dar ke siwa milta nahin
kya ’ilaqa dushman-e-mahbub ko allah se
be-raza-e-mustafa hargiz KHuda milta nahin
koi mange ya na mange milne ka dar hai yahi
be-'ata-e-mustafai mudda'a milta nahin
rahnumaon ki si surat rah-mari kaam hai
rah-zan hain ku-ba-ku aur rahnuma milta nahin
ahle-gahle hain mashaiKH aaj-kal har har gali
be-hama-o-ba-hama mard-e-KHuda milta nahin
hain safae zahiri ke yun to saman kHub kHub
jis ka baatin saf ho wo ba-safa milta nahin
bar zaban tasbih-o-dar dil gaw-kHar ka daur hai
aise milte hain bahut us se wara milta nahin
bas yahi sarkar hai jis se hamesha paenge
dene wale dete hain kuchh din sada milta nahin
dur sahil mauj hail par beDa kijiye
naw hai manjdhaar mein aur naKHuda milta nahin
wasl-e-maula chahte ho to wasila DhunD lo
be-wasila dahriyo hargiz KHuda milta nahin
daman-e-mahbub chhoDe mangai KHud allah se
aise mardak ko KHuda se mudda'a milta nahin
zarra-zarra qatra-qatra se 'ayan phir bhi nihan
jaan ki tarh dil uD ke ja baiTha
pahlu mein abhi tha kya hua milta nahin
uljha hua hai dahr ke phandon mein yaun
uljha samne hai aur sira milta nahin
sanea hota hai masnua se lekin
kar masnua sanea kā pata milta nahin
kaunain dete hain do aalam ko yahi
dekho un se tum dekho to kya milta nahin
sab se phir kar aae hain ab shah wala ke
tumhaare shafe' roz jaza milta nahin
de jo apne dard ki hakmi dawa milta nahin
jin se ummid karam thi de diya sab ne
aaj ke kaam aane wala KHusrawan milta nahin
kā aalam hai sab se aas toDe aae hain
wala ke siwa aur aasra milta nahin
jal rahe hain phunk rahe hain
wo hain KHurshed risalat nur kā saya
in ke farzi zil se bhi zil huma milta nahin
dushman jaan se kahin hai dushman din kā
in ke dushman se kabhi un kā gada milta nahin
mustafa ma jat illa rahm
hum to hum rah ambiya ke bhi liye hain wasta
ambiya baaz faez hain is sarkar mein
aalam pate hain sadqa isi sarkar kā
KHud fida se pae un ke siwa milta nahin
duniya kaisa uf sunte nahin faryaad bhi
wala dard kā koi shaha milta nahin
jo muhib ki chiz hai mahbub ke qabze ki hai
mein jis ke ho sab kuchh is se kiya milta nahin
dil satani karne wale hain hazaron dil ruba
dil gaya achchha hua is kā nahin gham hai to ye
rah gaya pahlu se jo wo dil ruba milta nahin
bhi beTe ko man se be sada milta nahin
ro ke dushmanon ne rasta milta nahin
- Book : Samaan-e-Bakhshish (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.