na hui phir kisi aashiq pe jafa mere baad
na huī phir kisī āshiq pe jafā mere ba.ad
ban ga.e dast-e-sitam dast-e-duā mere ba.ad
kHāna-e-dahr meñ vo ahsan-e-taqvīm huuñ maiñ
merī sūrat kā bhī naqsha nā khiñchā mere ba.ad
jab talak merī ḳhudī baaqī rahī sab kuchh thā
rah gayā phir to faqat nām-e-ḳhudā mere ba.ad
aap nāyāb ho mujh ko bhī ġhanīmat samjho
dekho pachhtāoge ai māh-e-laqā mere ba.ad
ham vahī the jo huā karte the pāmāl-o-kHirām
na jamā ḳhaak pe naqsh-e-kaf-e-pā mere ba.ad
mujh se avval na thā kuchh dahr meñ juz zāt-e-ḳhudā
ġhair-e-haq dekhā to phir kuchh na rahā mere ba.ad
ai sanam banda ke dam se hai ḳhudā.ī terī
tujh ko bhī koī kahegā na ḳhudā mere ba.ad
dām-e-zīst meñ karatā rahā dil meñ pinhāñ
khul gayā phir na mirā bhed chhupā mere ba.ad
mere hī saath merī nasl bhī duniyā se uThī
lillāhil-hamd nasab bhī na chalā mere ba.ad
jiite jī mujh pe na zāhir ye huā maiñ kyā huuñ
kyā huā kahiye jo uqda ye khulā mere ba.ad
'ulvī' āzādī-o-gum-nāmī ise kahte haiñ
ki mirā nām-o-nishāñ kuchh na rahā mere ba.ad
na hui phir kisi aashiq pe jafa mere baad
ban gae dast-e-sitam dast-e-dua mere baad
kHana-e-dahr mein wo ahsan-e-taqwim hun main
meri surat ka bhi naqsha na khincha mere baad
jab talak meri KHudi baqi rahi sab kuchh tha
rah gaya phir to faqat nam-e-KHuda mere baad
aap nayab ho mujh ko bhi ghanimat samjho
dekho pachhtaoge ai mah-e-laqa mere baad
hum wahi the jo hua karte the pamal-o-kHiram
na jama KHak pe naqsh-e-kaf-e-pa mere baad
mujh se awwal na tha kuchh dahr mein juz zat-e-KHuda
ghair-e-haq dekha to phir kuchh na raha mere baad
ai sanam banda ke dam se hai KHudai teri
tujh ko bhi koi kahega na KHuda mere baad
dam-e-zist mein karata raha dil mein pinhan
khul gaya phir na mera bhed chhupa mere baad
mere hi sath meri nasl bhi duniya se uThi
lillahil-hamd nasab bhi na chala mere baad
jite ji mujh pe na zahir ye hua main kya hun
kya hua kahiye jo uqda ye khula mere baad
'ulwi' aazadi-o-gum-nami ise kahte hain
ki mera nam-o-nishan kuchh na raha mere baad
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 309)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.