Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

na jalwon ki kasrat mein bahken nigahen

Zaheen Shah Taji

na jalwon ki kasrat mein bahken nigahen

Zaheen Shah Taji

na jalvoñ kasrat meñ bahkeñ nigāheñ

ki haiñ har qadam par tirī jalva-gāheñ

paḌīñ jab se dil par tumhārī nigāheñ

khulīñ zindagī na.ī shaah rāheñ

is andāz se vo chhupe rahe haiñ

magar aur kuchh kah rahī haiñ nigāheñ

ye dil thā ki aahoñ pe itrā rahā thā

hañsī meñ uḌā le gayā koī aaheñ

na aas apne bas meñ na yaas apne bas meñ

vo aanā bhī chāheñ na aanā bhī chāheñ

'zhīn' apne hast-o-adam se ye pūchheñ

agar haiñ to kyā haiñ nahīñ haiñ to kyā haiñ

na jalwon ki kasrat mein bahken nigahen

ki hain har qadam par teri jalwa-gahen

paDin jab se dil par tumhaari nigahen

khulin zindagi ki nai shah rahen

is andaz se wo chhupe ja rahe hain

magar aur kuchh kah rahi hain nigahen

ye dil tha ki aahon pe itra raha tha

hansi mein uDa le gaya koi aahen

na aas apne bas mein na yas apne bas mein

wo aana bhi chahen na aana bhi chahen

'zhin' apne hast-o-adam se ye puchhen

agar hain to kya hain nahin hain to kya hain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now