na mujhse chhuTega un ka daman na mujhko bhulega nam-e-ashraf
na mujhse chhuTega un ka daman na mujhko bhulega nam-e-ashraf
Ali Hussain Ashrafi
MORE BYAli Hussain Ashrafi
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت مخدوم اشرف جہاں گیر (کچھوچھہ، اتراپردیش)
na mujh se chhūTegā un kā dāman na mujh ko bhūlegā nām-e-ashraf
maiñ banda-e-be-diram huuñ un kā azal se huuñ maiñ ġhulām-e-ashraf
maiñ un kī mid.hat bayāñ karūñ kyā ki saare aalam meñ hai ye shohrat
mujaddid-e-vaqt thā jahāñ meñ buland-tar hai maqām-e-ashraf
unhīñ kī mahbūbiyat kā nā'ra-e-malā.ika ne falak pe maarā
zamīñ hī ye shān-e-ġhaus-e-a.alam falak pe vo ehtirām-e-ashraf
janāb ke vālid mua'zzam ne ḳhvāb meñ dekhā ki mustafā
ye dī bashārat ki ham ne rakhā hai naam un kā banām-e-ashraf
zamīñ pe rauza hai yā falak par kuchh us kī rif.at pe kah rahī hai
koī falak kā hai ye jo TukḌā jahāñ banā hai maqām-e-ashraf
jo vahdat-e-ābād jā-e-ḳhalvat to kasrat-e-ābād jā-e-jalvat
kahīñ hai vahdat kahīñ hai kasrat ajab hai dilkash nizām-e-ashraf
jo rūh-e-ābād jā ke dekho to sair-e-rūhī kā lutf aa.e
jo baiTho dār-ul-amāñ meñ jā kar to paao daañ faiz-e-ām-e-ashraf
bane jahāñgīr ġhaus-e-'ālam jahāñ ke auliyā ke afsar
valī zamāne ke zer-e-farmāñ mutī.a-e-ahkām-e-ām-e-ashraf
kisī ne tārīḳh arsh-e-akbar banā-e-rauza kī kHuub likhī
hamārī nazroñ se koī dekhe falak se bālā-e-bām-e-ashraf
adālat-e-sub.h-o-shām dekhe jo koī darbār-e-ashrafī meñ
to bol uThe ki allāhu allāhu ajiib hai intizām-e-ashraf
kahīñ to janāb jal rahe haiñ kahīñ kHabbā.is taḌap rahe haiñ
kisī ke sar boltā hai jaadū likhūñ maiñ kyā faiz-e-ilam-e-ashraf
charāġh rauza se le ke kājal lagā.eñ āñkhoñ meñ apne a.amā
to āñkheñ ho jaa.eñ un kī raushan ye hai karāmāt-e-ām-e-ashraf
ye chashma-e-nayyar gard-e-rauza bāb-e-shifā-o-sāf jaarī
marīz piite hī hoeñ achchhe ayaañ ye faiz-e-ām-e-ashraf
savāro kaa.ī ko nayyar ke bhī ḳhudā ne baḳhshī hai ye karāmat
ki har maraz kī yahī davā hai banā hai har ik ġhulām-e-ashraf
ye ḳhāk-e-rauza meñ hai tasarruf ki jis ko lete haiñ ahl-e-hājat
marīz achchhe hoñ jis se lākhoñ ajab hai ye faiz-e-ām-e-ashraf
zamīñ se tā-āsmāñ jo dekhā ajiib qudrat kā hai tamāsha
yahāñ zamīn par vahāñ falak par khaḌe hue haiñ ḳhiyām-e-ashraf
ummīd-e-luft-o-karam pe tere maiñ arz-e-hājat jo kar rahā huuñ
kaaro tavajjoh zarā idhar bhī ki le rahā huuñ maiñ nām-e-ashraf
ghuse jo gustākH-o-be-adab tumhāre darbār-e-bā-safā meñ
nikālnā jald us ko hazrat karegā badnām nām-e-ashraf
adab se jis ne ki ruḳh ko pherā ġhazab kā muñh par lagā tamāñcha
jalāl-o-jabrūt shah kā dekho ajab hai 'ālī-maqām-e-ashraf
agar kisī tālib-e-ḳhudā par zarā tavajjoh huī to hardam
kahegā mad.hosh kar chukā hai mujhe do-a.alam se jām-e-ashraf
bhalā.ī koī ashrafī se pūche ki shaah 'ashrafī' kī shaan kyā hai
kahegā vahm-o-gumāñ se mere buland hai ehtishām-e-ashraf
na mujh se chhuTega un ka daman na mujh ko bhulega nam-e-ashraf
main banda-e-be-diram hun un ka azal se hun main ghulam-e-ashraf
main un ki midhat bayan karun kya ki sare aalam mein hai ye shohrat
mujaddid-e-waqt tha jahan mein buland-tar hai maqam-e-ashraf
unhin ki mahbubiyat ka na'ra-e-malaika ne falak pe mara
zamin hi ye shan-e-ghaus-e-alam falak pe wo ehtiram-e-ashraf
janab ke walid mua'zzam ne KHwab mein dekha ki mustafa
ye di bashaarat ki hum ne rakha hai nam un ka banam-e-ashraf
zamin pe rauza hai ya falak par kuchh us ki rifat pe kah rahi hai
koi falak ka hai ye jo TukDa jahan bana hai maqam-e-ashraf
jo wahdat-e-abaad ja-e-KHalwat to kasrat-e-abaad ja-e-jalwat
kahin hai wahdat kahin hai kasrat ajab hai dilkash nizam-e-ashraf
jo ruh-e-abaad ja ke dekho to sair-e-ruhi ka lutf aae
jo baiTho dar-ul-aman mein ja kar to pao dan faiz-e-am-e-ashraf
bane jahangir ghaus-e-'alam jahan ke auliya ke afsar
wali zamane ke zer-e-farman mutia-e-ahkaam-e-am-e-ashraf
kisi ne tariKH arsh-e-akbar bana-e-rauza ki kHub likhi
hamari nazron se koi dekhe falak se baala-e-baam-e-ashraf
adalat-e-subh-o-sham dekhe jo koi darbar-e-ashrafi mein
to bol uThe ki allahu allahu ajib hai intizam-e-ashraf
kahin to janab jal rahe hain kahin kHabbais taDap rahe hain
kisi ke sar bolta hai jadu likhun main kya faiz-e-ilam-e-ashraf
charagh rauza se le ke kajal lagaen aankhon mein apne aama
to aankhen ho jaen un ki raushan ye hai karamat-e-am-e-ashraf
ye chashma-e-nayyar gard-e-rauza bab-e-shifa-o-saf jari
mariz pite hi hoen achchhe ayan ye faiz-e-am-e-ashraf
sawaro kai ko nayyar ke bhi KHuda ne baKHshi hai ye karamat
ki har maraz ki yahi dawa hai bana hai har ek ghulam-e-ashraf
ye KHak-e-rauza mein hai tasarruf ki jis ko lete hain ahl-e-hajat
mariz achchhe hon jis se lakhon ajab hai ye faiz-e-am-e-ashraf
zamin se ta-asman jo dekha ajib qudrat ka hai tamasha
yahan zamin par wahan falak par khaDe hue hain KHiyam-e-ashraf
ummid-e-luft-o-karam pe tere main arz-e-hajat jo kar raha hun
karo tawajjoh zara idhar bhi ki le raha hun main nam-e-ashraf
ghuse jo gustakH-o-be-adab tumhaare darbar-e-ba-safa mein
nikalna jald us ko hazrat karega badnam nam-e-ashraf
adab se jis ne ki ruKH ko phera ghazab ka munh par laga tamancha
jalal-o-jabrut shah ka dekho ajab hai 'ali-maqam-e-ashraf
agar kisi talib-e-KHuda par zara tawajjoh hui to hardam
kahega madhosh kar chuka hai mujhe do-alam se jam-e-ashraf
bhalai koi ashrafi se puche ki shah 'ashrafi' ki shan kya hai
kahega wahm-o-guman se mere buland hai ehtisham-e-ashraf
- Book : Sah Mahi Hazrat Bilal, Kolkata (Pg. 104)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.