Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nala juz husn-e-talab ai sitam-ījād nahīñ

Mirza Ghalib

nala juz husn-e-talab ai sitam-ījād nahīñ

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    naala juz husn-e-talab ai sitam-ījād nahīñ

    hai taqāzā-e-jafā shikva-e-bedād nahīñ

    ishq-o-mazdūri-e-ishrat-gah-e-ḳhusruv kyā ḳhuub

    ham ko taslīm niko-nāmi-e-farhād nahīñ

    kam nahīñ vo bhī ḳharābī meñ pa vus.at mālūm

    dasht meñ hai mujhe vo aish ki ghar yaad nahīñ

    ahl-e-bīnash ko hai tūfān-e-havādis maktab

    lutma-e-mauj kam-az saili-e-ustād nahīñ

    vaa.e mahrūmi-e-taslīm-o-badā hāl-e-vafā

    jāntā hai ki hameñ tāqat-e-faryād nahīñ

    rañg-e-tamkīn-e-gul-o-lālā pareshāñ kyuuñ hai

    gar charāġhān-e-sar-e-rah-guzar-e-bād nahīñ

    sabad-e-gul ke tale band kare hai gulchīñ

    muzhda ai murġh ki gulzār meñ sayyād nahīñ

    nafi se kartī hai isbāt tarāvish goyā

    hai jā-e-dahn us ko dam-e-ījād nahīñ

    kam nahīñ jalvagarī meñ tire kūche se bahisht

    yahī naqsha hai vale is qadar ābād nahīñ

    karte kis muñh se ho ġhurbat shikāyat 'ġhālib'

    tum ko be-mehri-e-yārān-e-vatan yaad nahīñ

    nala juz husn-e-talab ai sitam-ījād nahīñ

    hai taqāzā-e-jafā shikwa-e-bedād nahīñ

    ishq-o-mazdūri-e-ishrat-gah-e-ḳhusruw kyā ḳhub

    hum ko taslīm niko-nāmi-e-farhād nahīñ

    kam nahīñ wo bhī ḳharābī meñ pa wusat mālūm

    dasht meñ hai mujhe wo aish ki ghar yaad nahīñ

    ahl-e-bīnash ko hai tūfān-e-hawādis maktab

    lutma-e-mauj kam-az saili-e-ustād nahīñ

    wae mahrūmi-e-taslīm-o-badā hāl-e-wafā

    jāntā hai ki hameñ tāqat-e-faryād nahīñ

    rañg-e-tamkīn-e-gul-o-lālā pareshāñ kyuñ hai

    gar charāġhān-e-sar-e-rah-guzar-e-bād nahīñ

    sabad-e-gul ke tale band kare hai gulchīñ

    muzhda ai murġh ki gulzār meñ sayyād nahīñ

    nafi se kartī hai isbāt tarāwish goyā

    hai jā-e-dahn us ko dam-e-ījād nahīñ

    kam nahīñ jalwagarī meñ tere kūche se bahisht

    yahī naqsha hai wale is qadar ābād nahīñ

    karte kis muñh se ho ġhurbat shikāyat 'ġhālib'

    tum ko be-mehri-e-yārān-e-watan yaad nahīñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now