sab khul gaya tilism jahan ka jo raaz tha
sab khul gayā tilism jahāñ kā jo raaz thā
jis parde ko uThāyā vahī parda-sāz thā
mahmūd isī sabab se ġhulām-e-ayāz thā
is bande ke libās meñ banda-navāz thā
kah deñ jo ’ishq-e-lailā-o-majnūñ kā raaz thā
parda kushā.e roye haqīqat majāz thā
shab ko 'ajīb yaar se rāz-o-niyāz thā
maiñ mahv thā niyāz meñ vo mast-e-nāz thā
aatī thī ḳhaak hazrat mansūr se sadā
ye mard sarfarosh 'ajab sarfarāz thā
maiñ thā huzūr yaar huī jab azān-e-sub.h
paḌhtā namāz kaun ki vaqt-e-niyāz thā
apnī shab-e-firāq basar hoga.ī 'nisār'
aisā darāz qissa-e-zulf-e-darāz thā
sab khul gaya tilism jahan ka jo raaz tha
jis parde ko uThaya wahi parda-saz tha
mahmud isi sabab se ghulam-e-ayaz tha
is bande ke libas mein banda-nawaz tha
kah den jo ’ishq-e-laila-o-majnun ka raaz tha
parda kushae roye haqiqat majaz tha
shab ko 'ajib yar se raaz-o-niyaz tha
main mahw tha niyaz mein wo mast-e-naz tha
aati thi KHak hazrat mansur se sada
ye mard sarfarosh 'ajab sarfaraaz tha
main tha huzur yar hui jab azan-e-subh
paDhta namaz kaun ki waqt-e-niyaz tha
apni shab-e-firaq basar hogai 'nisar'
aisa daraaz qissa-e-zulf-e-daraaz tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.