nukta-chīñ hai ġham-e-dil usko sunāe na bane
nukta-chīñ hai ġham-e-dil us ko sunā.e na bane
kyā bane baat jahāñ baat banā.e na bane
maiñ bulātā to huuñ us ko magar ai jazba-e-dil
us pe ban jaa.e kuchh aisī ki bin aa.e na bane
khel samjhā hai kahīñ chhoḌ na de bhuul na jaa.e
kaash yuuñ bhī ho ki bin mere satā.e na bane
ġhair phirtā hai liye yuuñ tire ḳhat ko ki agar
koī pūchhe ki ye kyā hai to chhupā.e na bane
is nazākat kā burā ho vo bhale haiñ to kyā
haath aaveñ to unheñ haath lagā.e na bane
kah sake kaun ki ye jalvagarī kis kī hai
parda chhoḌā hai vo us ne ki uThā.e na bane
maut kī raah na dekhūñ ki bin aa.e na rahe
tum ko chāhūñ ki na aao to bulā.e na bane
bojh vo sar se girā hai ki uThā.e na uThe
kaam vo aan paḌā hai ki banā.e na bane
ishq par zor nahīñ hai ye vo ātish 'ġhālib'
ki lagā.e na lage aur bujhā.e na bane
nukta-chīñ hai ġham-e-dil us ko sunāe na bane
kyā bane baat jahāñ baat banāe na bane
maiñ bulātā to huñ us ko magar ai jazba-e-dil
us pe ban jae kuchh aisī ki bin aae na bane
khel samjhā hai kahīñ chhoḌ na de bhul na jae
kash yuñ bhī ho ki bin mere satāe na bane
ġhair phirtā hai liye yuñ tere ḳhat ko ki agar
koī pūchhe ki ye kyā hai to chhupāe na bane
is nazākat kā burā ho wo bhale haiñ to kyā
hath aaweñ to unheñ hath lagāe na bane
kah sake kaun ki ye jalwagarī kis kī hai
parda chhoḌā hai wo us ne ki uThāe na bane
maut kī rah na dekhūñ ki bin aae na rahe
tum ko chāhūñ ki na aao to bulāe na bane
bojh wo sar se girā hai ki uThāe na uThe
kaam wo aan paḌā hai ki banāe na bane
ishq par zor nahīñ hai ye wo ātish 'ġhālib'
ki lagāe na lage aur bujhāe na bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.