sair hai tujhse meri jaan jidhar ko chaliye
sair hai tujh se mirī jaan jidhar ko chaliye
tū hī gar saath na hove to kidhar ko chaliye
ḳhvāh kā'ba ho ki but-ḳhāna ġharaz ham se sun
jis taraf dil kī tabī'at ho udhar ko chaliye
zulf tak ruḳh se nigah jāvai na ik din ke sivā
shaam ko pahuñch.e manzil jo sahar ko chaliye
jab maiñ chaltā huuñ tire kūcha se katrā ke kabhī
dil mujhe pher ke kahtā hai udhar ko chaliye
in dinoñ raat isī fikr meñ kaTtī hai 'hasan'
sub.h kab hove ki phir yaar ke ghar ko chaliye
sair hai tujh se meri jaan jidhar ko chaliye
tu hi gar sath na howe to kidhar ko chaliye
KHwah ka'ba ho ki but-KHana gharaz hum se sun
jis taraf dil ki tabi'at ho udhar ko chaliye
zulf tak ruKH se nigah jawai na ek din ke siwa
sham ko pahunche manzil jo sahar ko chaliye
jab main chalta hun tere kucha se katra ke kabhi
dil mujhe pher ke kahta hai udhar ko chaliye
in dinon raat isi fikr mein kaTti hai 'hasan'
subh kab howe ki phir yar ke ghar ko chaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.