fana par etibar-e-zindagi mushkil samajhta hun
fanā par e'tibār-e-zindagī mushkil samajhtā huuñ
vahāñ madfan nikaltā hai jahāñ mahfil samajhtā huuñ
nahufta ḳhāk-e-mahfil meñ bhī ik mahfil samajhtā huuñ
har ik zarre ko ik manzil-rsīda dil samajhtā huuñ
mohabbat dil ko maare yā jilā.e haq-ba-jānib hai
mohabbat hī ko maiñ parvardigār-e-dil samajhtā huuñ
hazāroñ manzileñ tai kar chukā ab apnī hastī ko
ba-qadr-e-har-nafs āsūda-e-manzil samajhtā huuñ
vahī sab se baḌī ne.amat hai jo mil jaa.e be-māñge
sukūn-e-dil se behtar iztirāb-e-dil samajhtā huuñ
harīm-e-husn firdaus-e-mohabbat ka'ba-e-fitrat
ḳhudā jaane vo kyā kyā hai jise maiñ dil samajhtā huuñ
pa-e-takmīl ai 'sīmāb' aa.e ahl-e-dil koī
maiñ duniyā ko hadīs-e-nā-tamām-e-dil samajhtā huuñ
fana par e'tibar-e-zindagi mushkil samajhta hun
wahan madfan nikalta hai jahan mahfil samajhta hun
nahufta KHak-e-mahfil mein bhi ek mahfil samajhta hun
har ek zarre ko ek manzil-rsida dil samajhta hun
mohabbat dil ko mare ya jilae haq-ba-jaanib hai
mohabbat hi ko main parwardigar-e-dil samajhta hun
hazaron manzilen tai kar chuka ab apni hasti ko
ba-qadr-e-har-nafs aasuda-e-manzil samajhta hun
wahi sab se baDi neamat hai jo mil jae be-mange
sukun-e-dil se behtar iztirab-e-dil samajhta hun
harim-e-husn firdaus-e-mohabbat ka'ba-e-fitrat
KHuda jaane wo kya kya hai jise main dil samajhta hun
pa-e-takmil ai 'simab' aae ahl-e-dil koi
main duniya ko hadis-e-na-tamam-e-dil samajhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.