mani KHizan mein hain na haqiqat bahaar mein
ma.anī ḳhizāñ meñ haiñ na haqīqat bahār meñ
duniyā kuchh aur hai nazar-e-hoshiyār meñ
kyā dekhtā hai paikar-e-nā-paidār meñ
insāñ ko dekh kar ibrat-e-anjām-e-kār meñ
ḳhud mujh ko intizār kī lazzat meñ kho diyā
ab ḳhud taḌap rahī haiñ mere intizār meñ
mahsūs kar rahā huuñ unheñ dil meñ dekh kar
jaise hai kā.enāt mere iḳhtiyār meñ
'sīmāb' kā.enāt asar-gīr kyuuñ na ho
dil kī sadā hai nāla-e-be-iḳhtiyār meñ
mani KHizan mein hain na haqiqat bahaar mein
duniya kuchh aur hai nazar-e-hoshiyar mein
kya dekhta hai paikar-e-na-paidar mein
insan ko dekh kar ibrat-e-anjam-e-kar mein
KHud mujh ko intizar ki lazzat mein kho diya
ab KHud taDap rahi hain mere intizar mein
mahsus kar raha hun unhen dil mein dekh kar
jaise hai kaenat mere iKHtiyar mein
'simab' kaenat asar-gir kyun na ho
dil ki sada hai nala-e-be-iKHtiyar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.