nazar ki manzil-e-maqsud mehr-o-mah nahin
nazar kī manzil-e-maqsūd mehr-o-māh nahīñ
ye jalva-gāh ke parde haiñ jalva-gāh nahīñ
balā se abrū huā par jo dastgāh nahīñ
ḳhudā kā shukr yahāñ qaht-e-ashk-e-vāh nahīñ
ḳhayāl-e-dair nahīñ ḳhauf-e-ḳhānqāh nahīñ
maiñ jāntā huuñ mohabbat kahīñ gunāh nahīñ
jo ek nuqta pe jam jaa.e vo nigāh nahīñ
nigāh vo hai jo pāband-e-jalva-gāh nahīñ
miTā ke apnī ḳhudī mā-sivā se kar inkār
sukūn-e-rūh ba-juz zikr-e-lā-ilāh nahīñ
alag hai sab se mirā jāda-e-sukHan 'sīmāb'
avaam jis ke haiñ pairav vo merī raah nahīñ
nazar ki manzil-e-maqsud mehr-o-mah nahin
ye jalwa-gah ke parde hain jalwa-gah nahin
bala se abru hua par jo dastgah nahin
KHuda ka shukr yahan qaht-e-ashk-e-wah nahin
KHayal-e-dair nahin KHauf-e-KHanqah nahin
main jaanta hun mohabbat kahin gunah nahin
jo ek nuqta pe jam jae wo nigah nahin
nigah wo hai jo paband-e-jalwa-gah nahin
miTa ke apni KHudi ma-siwa se kar inkar
sukun-e-ruh ba-juz zikr-e-la-ilah nahin
alag hai sab se mera jada-e-sukHan 'simab'
awam jis ke hain pairaw wo meri rah nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.