ai fitrat-e-awara ai jalwa-e-harjai
ai fitrat-e-āvāra ai jalva-e-harjā.ī
kyā ilm meñ hai tere merā ġham-e-tanhā.ī
itnī to kashish farmā ai sho'la-e-sīnā.ī
ḳhākistar-e-mūsā phir lene lage añgḌā.ī
phir tere tabassum kī nazreñ haiñ tamannā.ī
vo muntaḳhab ik ishva min-jumla-e-rā'nā.ī
haiñ ishq ke do naġhme bustānī-e-sahrā.ī
royā to ghaTā uTThī gaayā to bahār aa.ī
jalvoñ kī to 'ādat hai mahjūb-e-nazar rahnā
kuchh tujh meñ bhī jur.at hai ai chashm-e-tamāshā.ī
ik umr huī hairāñ huuñ tere tajassus meñ
rahne bhī de bas apnī ye anjuman-ārā.ī
jab se mujhe mahviyat hai tere tasavvur meñ
āsūda-e-jalvat huuñ be-minnat-e-tanhā.ī
dīvānoñ kī tere hai pāband havā-e-gul
zanjīr baḌhāne ko uTThe ki bahār aa.ī
'sīmāb' ġhazal-goī ab us ke sivā kyā hai
be-fasl kā ik naġhma be-vaqt kī shahnā.ī
ai fitrat-e-awara ai jalwa-e-harjai
kya ilm mein hai tere mera gham-e-tanhai
itni to kashish farma ai sho'la-e-sinai
KHakistar-e-musa phir lene lage angDai
phir tere tabassum ki nazren hain tamannai
wo muntaKHab ek ishwa min-jumla-e-ra'nai
hain ishq ke do naghme bustani-e-sahrai
roya to ghaTa uTThi gaya to bahaar aai
jalwon ki to 'adat hai mahjub-e-nazar rahna
kuchh tujh mein bhi jurat hai ai chashm-e-tamashai
ek umr hui hairan hun tere tajassus mein
rahne bhi de bas apni ye anjuman-arai
jab se mujhe mahwiyat hai tere tasawwur mein
aasuda-e-jalwat hun be-minnat-e-tanhai
diwanon ki tere hai paband hawa-e-gul
zanjir baDhane ko uTThe ki bahaar aai
'simab' ghazal-goi ab us ke siwa kya hai
be-fasl ka ek naghma be-waqt ki shahnai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.