na ho gar aashna nahin hota
na ho gar āshnā nahīñ hotā
but kisī kā ḳhudā nahīñ hotā
tumhīñ us vaqt yaad aate ho
jab koī aasrā nahīñ hotā
kuchh mohabbat hī se hai zid sab ko
varna duniyā meñ kyā nahīñ hotā
dil meñ kitnā sukūn hotā hai
jab koī mudda.ā nahīñ hotā
ho na jab tak shikār-e-nā-kāmī
aadmī kaam kā nahīñ hotā
husn kā tazkira to hotā hai
bar-sabīl-e-vafā nahīñ hotā
zindagī thī shabāb tak 'sīmāb'
ab koī sāneha nahīñ hotā
na ho gar aashna nahin hota
but kisi ka KHuda nahin hota
tumhin us waqt yaad aate ho
jab koi aasra nahin hota
kuchh mohabbat hi se hai zid sab ko
warna duniya mein kya nahin hota
dil mein kitna sukun hota hai
jab koi muddaa nahin hota
ho na jab tak shikar-e-na-kaami
aadmi kaam ka nahin hota
husn ka tazkira to hota hai
bar-sabil-e-wafa nahin hota
zindagi thi shabab tak 'simab'
ab koi saneha nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.