hu ka nasha rom-rom ke andar-andar jhum raha hai aur qalandar jhum raha hai
hu ka nasha rom-rom ke andar-andar jhum raha hai aur qalandar jhum raha hai
Shadab Javed
MORE BYShadab Javed
hū kā nasha rom-rom ke andar-andar jhuum rahā hai aur qalandar jhuum rahā hai
kaalā birahā joḌā pahne ek kā ik ghar jhuum rahā hai aur qalandar jhuum rahā hai
'ishq-nagar meñ dhuum machī hai nafas kī jaañ par aan paḌī hai dard kī rassī TuuT ga.ī hai
'aql qafas se bāhar ā-kar hosh kabūtar jhuum rahā hai aur qalandar jhuum rahā hai
'arsh ke paa.e farsh pe aa.e aas paḌī hai muñh bichkā.e sab ke sab haiñ ghabrā.e
man mandir ke andar baiThā daas banā Dar jhuum rahā hai aur qalandar jhuum rahā hai
daftar asiyāñ khulne lagā hai jan-jan meñ kohrām machā hai hashr bapā hai hashr bapā hai
muzda diid vahdat pā kar saarā manzar jhuum rahā hai aur qalandar jhuum rahā hai
kashtī-e-hastī Duub rahī hai vajd-o-'adam kī vasl ghaḌī hai ‘shādābī’ hairat meñ paḌī hai
mauj uThātā shor machātā shauq-e-samandar jhuum rahā hai aur qalandar jhuum rahā hai
hu ka nasha rom-rom ke andar-andar jhum raha hai aur qalandar jhum raha hai
kala biraha joDa pahne ek ka ek ghar jhum raha hai aur qalandar jhum raha hai
'ishq-nagar mein dhum machi hai nafas ki jaan par aan paDi hai dard ki rassi TuT gai hai
'aql qafas se bahar aa-kar hosh kabutar jhum raha hai aur qalandar jhum raha hai
'arsh ke pae farsh pe aae aas paDi hai munh bichkae sab ke sab hain ghabrae
man mandir ke andar baiTha das bana Dar jhum raha hai aur qalandar jhum raha hai
daftar asiyan khulne laga hai jan-jan mein kohram macha hai hashr bapa hai hashr bapa hai
muzda did wahdat pa kar sara manzar jhum raha hai aur qalandar jhum raha hai
kashti-e-hasti Dub rahi hai wajd-o-'adam ki wasl ghaDi hai ‘shadabi’ hairat mein paDi hai
mauj uThata shor machata shauq-e-samandar jhum raha hai aur qalandar jhum raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.