tu ne mai-KHana nigahon mein chhupa rakkha hai
tu ne mai-KHana nigahon mein chhupa rakkha hai
Mahmood Alam Hussaini
MORE BYMahmood Alam Hussaini
tū ne mai-ḳhāna nigāhoñ meñ chhupā rakkhā hai
hosh vāloñ ko bhī dīvāna banā rakkhā hai
ab yaqīnan mujhe me'arāj-e-mohabbat hogī
merā sar aap ke qadmoñ meñ jhukā rakkhā hai
har tamannā ko kaleja se lagā rakkhā hai
dil meñ terī hī mohabbat ko chhupā rakhā hai
har qadam sajda ba-sad shoḳh kiyā karatā huuñ
maiñ ne kā'ba tere kūche meñ banā rakkhā hai
naaz kaise na karūñ banda-navāzī pe tirī
mujh se nāchīz ko jab apnā banā rakkhā hai
jo bhī ġham miltā hai siine se lagā letā huuñ
maiñ ne har dard ko taqdīr banā rakkhā hai
ye tirī banda-navāzī ye karam hai terā
mujh gunahgār ke ’aiboñ ko chhupā rakkhā hai
jab bhī dekhā tumheñ maḳhmūr hī dekhā maiñ ne
jaane kyā aap ne sālik ko pilā rakkhā hai
tu ne mai-KHana nigahon mein chhupa rakkha hai
hosh walon ko bhi diwana bana rakkha hai
ab yaqinan mujhe me'araj-e-mohabbat hogi
mera sar aap ke qadmon mein jhuka rakkha hai
har tamanna ko kaleja se laga rakkha hai
dil mein teri hi mohabbat ko chhupa rakha hai
har qadam sajda ba-sad shoKH kiya karata hun
main ne ka'ba tere kuche mein bana rakkha hai
naz kaise na karun banda-nawazi pe teri
mujh se nachiz ko jab apna bana rakkha hai
jo bhi gham milta hai sine se laga leta hun
main ne har dard ko taqdir bana rakkha hai
ye teri banda-nawazi ye karam hai tera
mujh gunahgar ke ’aibon ko chhupa rakkha hai
jab bhi dekha tumhein maKHmur hi dekha main ne
jaane kya aap ne salik ko pila rakkha hai
- Book : Karam ke Phool (Pg. 16)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.