mujhe gham-zada dekh kar wo ye bole
mujhe ġham-zada dekh kar vo ye bole
hamārā hai to be-sahārā nahīñ hai
ho rusvā.ī merī merī aañkh nam ho
mere yaar ko ye gavārā nahīñ hai
tumheñ vāsta ibn-e-maulā 'alī kā
ḳhudārā mirī iltijā sun lo aaqā
na karnā judā apne qadmoñ se mujh ko
mirā aur kahīñ bhī guzārā nahīñ hai
sag-e-dar tumhārā ho kis dar pe jā.ūñ
kahāñ jā ke maiñ haal apnā sunā.ūñ
'alāva vo tumhāre kisī dar pe maiñ ne
kabhī apnā dāman pasāre nahīñ hai
bhram merā rakhā hai tum ne yahāñ par
mirī laaj rakh liije aaqā vahāñ par
tumhīñ mere maavā ho maljā tumhīñ ho
mirā aur koī sahārā nahīñ hai
yaqīnan tumheñ vasl-e-mahbūb hogā
magar jazba-e-'ishq meñ kuchh kamī hai
'farāz' imtihāñ aur dene paḌeñge
abhī is nazar kā ishāra nahīñ hai
mujhe gham-zada dekh kar wo ye bole
hamara hai to be-sahaara nahin hai
ho ruswai meri meri aankh nam ho
mere yar ko ye gawara nahin hai
tumhein wasta ibn-e-maula 'ali ka
KHudara meri iltija sun lo aaqa
na karna juda apne qadmon se mujh ko
mera aur kahin bhi guzara nahin hai
sag-e-dar tumhaara ho kis dar pe jaun
kahan ja ke main haal apna sunaun
'alawa wo tumhaare kisi dar pe main ne
kabhi apna daman pasare nahin hai
bhram mera rakha hai tum ne yahan par
meri laj rakh lije aaqa wahan par
tumhin mere mawa ho malja tumhin ho
mera aur koi sahaara nahin hai
yaqinan tumhein wasl-e-mahbub hoga
magar jazba-e-'ishq mein kuchh kami hai
'faraaz' imtihan aur dene paDenge
abhi is nazar ka ishaara nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.