uske rukH-e-sabih par zulfen mushk-fam do
us ke rukH-e-sabīh par zulfeñ mushk-fām do
qudrat-e-haq ye dekhiye ek sahr hai shaam do
kā'ba-o-'arsh bhī maqām us ko mile haiñ do maqām
baada hai ek jaam do ek havā hai jaam do
ek hadīs-e-mustafā dūsrā mus.haf-e-ḳhudā
diin ke liye haiñ rahnumā kaafī haiñ ye kalām do
haq ne use kiyā salām us ne hameñ diyā salām
ham ne bhī le liyā salām shauq se ye salām do
maz.har-e-nūr-e-kibriyā koī nahīñ tire sivā
teġh jab ek ho bhalā us ke hoñ kab niyām do
ek nabī ke haath se ek 'alī ke haath se
kausar-e-salsabīl ke ham ko mileñge jaam do
kyā hī hasan husain kā husn dekh lo zarā
merī to āñkhoñ kī ziyā putliyāñ haiñ imaam do
aaj 'shahīd'-e-be-navā paḌhtā hai nā't-e-mustafā
jam' hoñ ḳhās-o-'ām do sab ko yahī payām do
us ke rukH-e-sabih par zulfen mushk-fam do
qudrat-e-haq ye dekhiye ek sahr hai sham do
ka'ba-o-'arsh bhi maqam us ko mile hain do maqam
baada hai ek jam do ek hawa hai jam do
ek hadis-e-mustafa dusra mushaf-e-KHuda
din ke liye hain rahnuma kafi hain ye kalam do
haq ne use kiya salam us ne hamein diya salam
hum ne bhi le liya salam shauq se ye salam do
mazhar-e-nur-e-kibriya koi nahin tere siwa
tegh jab ek ho bhala us ke hon kab niyam do
ek nabi ke hath se ek 'ali ke hath se
kausar-e-salsabil ke hum ko milenge jam do
kya hi hasan husain ka husn dekh lo zara
meri to aankhon ki ziya putliyan hain imam do
aaj 'shahid'-e-be-nawa paDhta hai na't-e-mustafa
jam' hon KHas-o-'am do sab ko yahi payam do
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 32)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.